Tag your YAAR's.
Mention your badge too. Mine 2016-2020
LCWU Confessions
Inbox us your any confessions related to LCWU We would post that on our page. Everything would be anonymous.
We have been standing here since 8 AM and are being treated so badly. They keep taking us from one place to another. Itβs almost 2 PM and we still havenβt received the roll number slip. The staff is extremely rude and irresponsible, while they are just sitting and chilling. The management is literally zero.Reshare as much as you can!!!!
Credits : Lishycore
Assalam o alikum I am daughter of Mr Javed siddique... Lcwu me main cafe me 65years kam Kiya ...Yahan ki building tak humnay apnay paiso se banai...sub se pehlay mere Dada Abu Mr siddique aye uan ki death k bad mere baba Javed siddique 17years me Yahan aye baba k Sath sath Saqib Bhai Yahan aye papa ki death 16july 2015me hoe uan ki death k bad Bhai k Sath sath main aur mama b agayi main main counter me rehti thi...2015se 2020 tak Yahan kam Kiya.. sub log jantay Tay ..last year se lcwu k logo nay bhtttt tang kia kabhi humaray maal andar me takawat paida ki kabhi salesmen ko tang kia kabhi Yahan k logo ko humaray pechay lagaya hua tha kam ka time Hona kabhi Kuch Hona lakin Maine hemat NAHI hari masalsal ais kam ko continues kia hua tha...kahien bar maal b kam Hona hum sub khamosh Rahay...even main time pay bills k liay office me kitni bar apnay workers ko behajna k bills NAHI Aya ais pay b tang kia gaya Yahan tak humara apna maal tak bahir lay janay ki ijazat NAHI thi stay court ki taraf se ja raha tha .. aye din kabhi Kuch kabhi Kuch...Yahan ki girls se b kehna AP sub Jo pareshan rehti Hain apnay Haq k awaz uthana seekho main b Yahan ki student rahi Hun ...humain Yahan batanay ki ijazat NAHI thi lcwu Kiya karte Hain lakin main NAHI darti ain batoun se...kiyun k Haq ki or Sach bolna mere baba nay seekhaya....Yahan k logo ko muft khanay ki adat pari hoe thi lalaach had se bar jaye aisay logo me kam Karna mushkil hota hay mere jab shadi hoe Maine Yahan kisi ko b NAHI bataya even mere barat walay din tak jab Bhai cafe me khanay ka kam kar rahy Tay....catering ka kam Bhai nay kia. Main saloon me thi sub se late main hi bride thi jisay koi lenay NAHI araha tha mujhe ais baat ka bad me pata laga k us din b ain logo nay Bhai ko pareshan kia hua tha....Khair time pay sub kam howay jab aglay din main NAHI ayi us din sub ko pata laga mere shadi ho gayi ...ais k bad out of city Chali gayi...corona agaya ...us waqt cafe band tha jab aino nay Bhai ko call ki ..Bhai ki sugar Kafi high thi tabiyat b kharab thi...Bhai nay call receive ki aino nay Bhai ko akalay bhulaya Bhai nay apnay lawyer ko call ki kehty chalay jao koi Masla NAHI ho ga ..jaisay hi Bhai cafe gaye sub se pehlay locks open Karwa k camera utaray gaye koi recorde qaim na ho sath sath mobile rakha k Bhai kisi ko call na kare apnay hi cafe me itna bura behave tha ...qabza kar liya har cheese pay ais building pay humaray saman pay jis pay papa nay din Raat kar k mehnat ki .. Dr Bushra mateen nay ain se paper mangay jis pay papa k sign Tay agreement tha ais canteen pay hamesha hum log kam kare gay woh paper tak gaib kiay gaye ...Dr Bushra mateen nay call ki ain yateemo k Sath ziyati na Karna bht mehnat se sub banaya Yahan tak humari entry tak band karwai gayi...bus notice behajna k 50lacks Jama karway or saman lay jaye . Pehla sawal yahan jitna b catering ka function hua Kiya humain pay Kiya gaya jitnay vip functions lcwu me howay woh b humaray paiso k ...27lacks ki amount thi Jo aino nay NAHI diay humari building b li Yahan Sara saman pay b qabza kia gaya building tak k paisay na diay gaye hum Kahan se lay k atay papa k time b aisi koi baat nahi hoe thi ....papa mere se bills tak ready karwaty Tay bht Kuch share kia karte Tay .. Yahan billssss saman har Chese qabza pay ki gayi . Ghar k halaat itnay buray howay nashta tak k paisay na Tay ...Bhai k 4bachay Hain aino ko thori si sharam ayi. Kaisay sub ho ga cafe k andar bht sa recorde tha qeeeemti saman tha mere paas cafe k saman k ilawa catering k saman ki pictures video b thi kisi b waqt yeh log atay humara cafe band karwaya ..itna tang kia hay humaray kam ko Karna mushkil banaya hua tha...humain insaaf nai Mila....lakin Allah pak ki adalat me milay ga....main woh waqt NAHI Bhool sakti Jahan mere papa nay din Raat mehnat ki yeh bazahir logo k liay building ho ga uan ki death k bad Yahan sakoon ata tha main apnay baba se bht piyar karte Hun uan ka beta b Hoon....kahien bar group me msg likhay lakin koi aik awaz NAHI banna... Alhamdulilah Bhai nay zero se start liya ab woh apna kam karte Hain .....main Yahan VC se milnay gayi mera c section hua tha mere tabiyat b kharab thi teen gantay waiting me rakha humain canteen tak na janay diya ....humaray sath aisay security rakhi jaisay hum..... Yahan corruptions bht zayda Hain yeh Wohi log Hain jin ka mere baba nay bht Sath diya.....Dr Bushra mateen nay humara bht saaath diya .. main ais kam ko mazeed agay lay Jana chahti thi lakin shayd qismat me Yahan tak Sath tha... Ais story ko share karnay ka maqsad haqeqat maloom honi chahyen AP sub se b apnay liay Bolna seekhay aisay logo se mat daray.
Baba ki beti ki duwao me yaad rakhna
Allah pak mere baba ko jannat ul firdos me jagha dena
Saqib Bhai k kam ko mazeed agay lay k Jana buray logo ki Nazar se mehfoz rakhna
Ameeen (I need maximum shares on this post to highlight this matter)
Dear mates!
Saqib ki canteen k baray me kuch information Mili hai saqib ki sister se, And it's really shocking. Should we rise our voice? Need your feedback on this post please.
27/05/2026
β€π
Shakuntala's kingdom! π
Inbox your confessions and tag your lcwu mates!
Those days!
Credits : Kumail Zayn
26/05/2026
The Hall Of Fame! π€£
23/05/2026
Guess the place. π
Netflix dedo koi Allah ka bnda meri subscription expire hogai. π·πͺ
Click here to claim your Sponsored Listing.
Location
Category
Website
Address
Lahore
54810