26/07/2015
Subha subha kamra-e-imtehan may aik
hi khabar zuban zad-e-aam thi k dusre
kamrey may mumtahin(examiner) ne
student ko thappar maara q k us k paas
se naqal ka muwad bramad hua!
Imtehan shuroo huye kuch hi waqt guzra
hoga k aik taliba kamra-e-imtehan se
baahir jaane laggi Mumtahin(examiner)
ne waja daryaft ki to malum hua k
taliba(student) beemari k sabab imtehan
se tyari na kar paayi thi jiski wja se wo
imtehan(exam) daine se qasir
thi..Mumtahin ne taliba ko jaane se
mana kiya aur offer ki k apna saal zaya
mat karain aur baqi bohat se students
jis tara paper de rhe hain(Naqal k
zariye) paas hone k liye aap bhi aise hi
paper de dain!
taliba ne aage qadam barhaate huye sirf
itna bola "is tara paas hone may jis se
maira zameer mutmayn na ho muje har
baar fail hona manzur hay ,,INSHA
ALLAH agle saal may behtareen tyari k
sath paper de kar mutamyn zameer k
saath apni degree hasil karungi!" ye
kehte hi wo kamra-e-imtehan se baahir
nikal g*i..
aur mumtahin ko aisa mehsus hua k ye
thappar us thappar se kahi ziada zaur
daar tha jo subha hi kisi mumtahin ne
aik student ko maara tha,,,Kia is
mumtahin ko na pta tha k subha aik
student ko parne waale thappar ki kia
wja hogi ,,(yhi k dusre bohat se students
ki tara naqal lgane k liye us k paas
,sifarish,rishwat,ya taqat na hogi),to
mumtahin ne apni sakhti aur Emandari
dikhaane ka moqa zaya na kiya aur issi
student ko thappar jhar diya!
magar ab ye aik mumtahin ko parne
wala ye aisa thappar tha jiski na to
gooonj kisi ko sunayi di na kisi ko dikha
aur na hi is k charchey har class aur har
student k saamne huye!
Magar is aik beawaz thappar ne
mumtahin ko wo aayna dikhaye jisse aaj
se pehle wo daikh k bhi nazarandaz kar
rha tha,,Aaj kamra-e-imtehan may naqal
lgane waale,rishwat daine waale, sifarish
karwane waale,drane dhamkaane waale
aur sirf paise k zaur par Haqdar
students se ziada number wasool karne
waale ye students kitne Qasurwaar
hain?
shayed in Mumtahin aur Usatdza
Hazraat se ziada nhi,,kia aaj ka taleemi
nizaam in students ne barbaad kiya? nhi
hargiz nhi! Ye silsila inhi usatza aur
taleemi nizam se munsalik tmam
Baikhtyar Hazraat ka marhoon_e_minnat
hay!
Apni tankhwa(salary) ko halal rozi ka
laqab daine k liye bamushkil aik ghante
k ratte rtaaye lecture daine waale ye aaj
k usatza Students ko Ikhlaqiyaat
sikhaane se Qasir hain! aur aise
students ki badikhlaqi aur bastameezi ka
pehla shikaar Khud yhi Usatdza hote
hain,,,
Kamra-e-imtehan may kisi yahoo ya
hotmail messenger k frayz anjaam daine
waale ye mumtahin jab cheating se
Muzayyan(decorated) Anmol nuskhaa
jaat aik student se dusre student ki janib
transfer karte hain to kisi tor bhi ye aik
Waiter se kam maloom nhi hotey jisse
Aakhir may sirf Apni TIP chahiye aise
may usse farq nhi parta k konsa
CUStomer kia Order kar rha hay!
Paseene poonchte huye aik nazar
darwaze pe markooz rakhte huye yhi
usatza aur mumtahin hazraat
examination centre k kisi koney may aik
mukhbar chor daite hain jo fori tor pe
kisi ghebi madadgaar ki tara kisi
CHECKEr k aane ki ittala fraham kar k
kaar-e-khair may hissa laita hay!
Aur yhi mumtahin hazraat jo pehel kisi
waiter aur messenger k frayz anjaam de
rhe hote hain ab kaaghzon k marorey
tarorey nuskha jaat zameen se samaitne
lagtey hain aur chilla chilla kar kabhi
minnat kar k students ko alert aur
khamosh rehne k ishaarey karte hain
Aise may apni bokhlahat par qabu
paatey huye zameen se RUQQEY
uthaane waale ye mumtahin kisi tor par
Phattey purane kapre pehne apni behti
hui naak saaf karte zameen se kaghaz
jama karne waale kisi bache se kam
maloom hotey hain?
checker hazraat k kamrey tak pohanchne
se pehle hi kamre ki halat aisi ho chukki
hoti hay jaise Kisi JAduyi charri ne AIk
Khandar ko Pursakun Mehal may badal
diya ho ya jaise Kisi Tsunami k baad
Sumandar tham chukka ho!
Ird gird ka jayza laite huye ye checker
kabhi Mumtahin hazraat k tables ki
Nuskhaa jaat se bharri hui Draz khol k Q
check nhi karte ?
Bachon ki tirchi nigahain aur ruki hui
qalam daikh k Mubham se tanziya
muskurahat kamre pe uchaalte huye
wapis q palat jaate hain?
Q k ye bhi inhi adwar se guzrey hain ye
bhi issi Drama ka aik Kirdaar hain!
kesi Zabardast,bina kahani tehreer
kiye,Bina direct kiye, BIna Re-takes liye
bnayi jaane waali aik super duper hit
Film k kitne honhaar Kirdaar hain ye sab!
aise may kisi aik aadh bache ko Ruqaa
bramad hone pe thappar maara jaaye to
kia ye bache k saath ziadti nhi?
aakhir us bache ko bhi poora haq hay
bina Saal zaya kiye Degree Wasul karne
ka ,,
Aakhir usse bhi haq hay Is mulk k
khwanda afrad ki fehrist(list) may shamil
ho kar Mulk ki khwandgi may izafa ka
sabab banne ka!
AAKhir usse bhi haq hay kisi syastdaan
ya us k bachon ki tara baghair kuch kiye
kursi pe baith k Rozgaar kamane ka!
ye ZIadti aik hi bache k saath q?
Thappar ka haqdaar ye aik hi bacha q?
thappar k haqdaar wo sab abche q nhi
jo rishwat,sifarish ya Resources istamal
kar k baqio ki haqtalfi karte hain?
Thappar k haqdaar wo Muntazmeen q
nhi jo power,ikhtyaar, aur ilm rakhne k
bawajud aankh band kar k saamne se
guzar jaate hain?
Q k unki aankhon pe lalach ki patti hay
,,aur us patti k dusri taraf Bachon ki
tabah hotey mustaqbil ,,unki bigarti hui
shakhsiyat, unki behiss hoti nafsiyaat
hay jisse wo Baikhtyaar log daikhte huye
bhi daikhne se Qasir hain!
Thappar k haqdaar hum sab q nhi,,,k
jinho ne is NIzaam ki Parwarish ki hay?
by:
master nisar