18/02/2026
السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ ٱللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ
Aap sab ko Ramzan ki khushiyan Mubarak ho 🌙✨
Yeh mahina dilon ko narm karne, rooh ko roshan karne or zindagi main sukoon bharne ka mahina hai.
Har dua qubool ho, har dil khushiyon se mehak uthay or har ghar rehmaton se bhara ho.
Aaiye is Ramadan ko mohabbat, sabr or khuloos ke saath guzarein taake har lamha barkat aur sukoon se labrez ho jaye.
Allah hamari ibadat qabool farmaaye or humein apni rehmaton ka saya ata farmaaye. Ameen Suma Ameen 🤲