30/03/2015
Institute of professional studies
Contact information, map and directions, contact form, opening hours, services, ratings, photos, videos and announcements from Institute of professional studies, School, Gujranwala.
30/03/2015
28/03/2015
Importance Of S*x Education - Jinsi Taleem Ki Zaroorat
Mardon ko, aurton ko, bachiyon ko, jawano'n ko, hutta kay boorhon ko bhi aam taaleem ki tarah jinsi taaleem (s*x education) ki zaroorat hai, khusoosan naey shadi shuda couples ko khushgawar azdwajii zindagi kay liye jinsi taaleem ki sakht zaroorat hai. Magar yeh taaleem inn ko Quran aur jaded tehqeeq ki roshni mein sha'estigi kay sath milni chahiyie. Chu'n kay humarey haan iss tarah ka koi intezam nahin jis ka nateeja yeh hai kay naujawan nasal neem hakeemon, ataiyo'n, dewaro'n per ishtehaaraat aur ghaer meyari kutub sey jinsi ma'aloomat hasil karti hai jo kay aksar ghalat, gumraah kun aur tabah kun hoti hain. Inn ghalat ma'aloomaat ki wajah sey humarey mu'aashrey mein bohut sey jinsi masail paeda ho chukey hain jo kay normal azdawaji zindagi mein bohut bari rukawat sabit ho rahey hain, jis ki wajah sey bohut si shadiya'n naakaam ho jati hain, shohar pagal ho jatey hain aur kuch bey charey khudkushi kar letey hain.
Jinsi taaleem (s*x education) na sirf azdawaji zindagi ko khushgawar banati hai bul kay iss ki madad sey jinsi jara'em maslan in**st, zina biljabr aur doosrey jinsi gunaah masaln hum jinsiyat waghaera ko kam kiya ja sakta hai. Jinsi khwahish (libido) bohut taez aur mu'nh zor hoti hai jo fard ko jinsi gunah aur jara'em per majboor kar deti hai, iss kay elawa s*x education ki madad sey ahem jinsi masail maslan surat e inzal (premature ej*******on) aur mardana jinsi kamzori (erectile dysfunction) waghaera ka tadaruk bhi kya ja sakta hai.
Maghrib mein jinsi taaleem, ta'aleemi idaro'n mein dii jati hai magar wahan ta'aleem amooman bacho'n ko zina per aamaada karti hai. Waisey mahireen ka khayal hai kay bacho'n ko jinsi taaleem deney kay liye walaedaen sab sey zyada mozoon hain na kay ta'aleemi idaarey. Baap betey ko aur maan beti ko yeh taaleem dey. Lehaza walaedaen ko iss hawaley sey zyada sey zyada ma'aloomaat hasil karni chahiyien ta'kay woh aaney wali nasal ko yeh ilm muntaqil kar sakein.
Taleem ki Ehmiyat
Taleem har insaan chahay wo ameer ho ya ghareeb, mard ho ya aurat ki bunyaadi zarooriyaat mai say ek hai. Ye har insaan ka haq hai jo koi usay nahe cheen sakta. Insaan aur haiwaan mai farq taleem he ki badulat hai. Ye kici bhe muaashray ya qaum kay lye taraqi ki zamant hai. Taleem he qaumon ki taraqi aur zawaal ki waja bnti hain. Taleem haasil karnay ka matlab sirf school, college ya university say koi degree lena nahe balkay eskay saath tameez aur tehzeeb seekhna bhe hai takay insaan apni muaasharti riwayaat aur iqdaar ka paas rakh sakay. Taleem insaan ka kirdaar bhe sanwaarti hai. Taleem ek aici dolat hai jo baant’nay say k*m nahe balkay barhti hai. Insaan ko “ashraf ul makhlooqaat” ka darja bhe sirf taleem ki waja say mila.
Dunya kay tmaam mazahib mai taleem ko khaas ehmiyat haasil hai. Islam mai taleem haasil kana har musalmaan par farz hai. ALLAH nay ye kaainaat bhe es lye bnaai takay insaan taleem kay zariyay eskay poshida raaz pehchanay sakay aur Uski maarfut haasil kar kay Usko pehchaan sakay. ALLAH nay he insaan ko dunya ki tmaam cheezon par foqiyat di aur sub cheezon ko uskay matehet kiya kyun kay wo taleem ki waja say en sub say a’ala hai. Nabi S.A.W.W nay farmaya “Taleem haasil karo beshak es kay lye tmhe cheen (china) he jana paray”. Nabi S.A.W.W apnay Sahaaba R.A ko parhnay ki talqeen kartay kyun kay Nabi S.A.W.W khud parhna likhna nahe jaantay thay aur tmaam ahaadith Sahaaba R.A say likhwatay thay. Islam mai taleem ko lazim qaraar diya gaya takay insaan apna aap aur Khuda e wahid ko pehchaan sakay.
Maghrib ki taraki ka raaz bhe yhe hai kay un logon nay taleem ko ehmiyat di aur taleem haasil karnay kay lye har mumkin koshish ki aur dunya ko taleem kay bul par fatah kiya. Maghrib ki kaamyabi aur mashriq kay zawaal ki waja bhe taleem ka na hona hai. Dunya kay wo mulk jnki economy tabaah ho chuki hai jo dunya ki bhari taakaton par depend kartay hain unka defense budget tau arbon rupay ka hai par taleemi budget na honay kay barabar. Jahan ghareeb awaam kay lye taleem haasil karna na mumkin hai kyun kay taleem unki puhnch mai nahe! Kya ek mulk jski 50% say zyaada abaadi unparh ho par uskay paas jadeed hathyaar hon taraki kar skta hai? Jub tuk ye mulk taleem ki ehmiyat ko nahe samjhein gay maghrib ka muqabla nahe kar skein gay!
Ye hakoomat aur hukmaraanon ka farz hai kay wo apnay logon kay lye aisay mawakay muyasar karay kay ameer logon kay saath ghareeb log bhe taleem say istifaada kar skein. Jub tak taleem ka myaar acha nahe hoga tub tak muaashra takaraqi ki manzil tay nahe kar sakta. Es taleem kay saath deen ki taleem bhe zaroori hai takay insaan apnay Khuda say bhe taa’luq barqaraar rakh sakay. Taleem ki ehmiyat janay bghair insaan hamesha pasti mai rahay ga, beshak jaahiliyat Khuda ki lanat hai!
28/03/2015
Books ,
25/03/2015
study room.
Click here to claim your Sponsored Listing.
Location
Category
Contact the school
Telephone
Website
Address
Gujranwala
5250