20/12/2025
Khamosh Azaab Kya Hai?
Is Jummah ke bayaan mein M***i Bilal Ahmad Butt ne aik bohat aham aur sochne par majboor kar dene wala mauzu bayan farmaya.
Khamosh azaab kya hota hai? Insaan kin haalaton mein bina awaaz ke azaab ka shikar ho jata hai? Aur dukhon ka asal madawa kya hai?
Is khutba-e-jummah mein yeh bhi wazeh kiya gaya hai ke:
Doosron ke liye jeene ki haqeeqat kya hai
Insaan apni zindagi kis ke liye guzar raha hai
Asal khair khwah kaun hota hai: duniya ya aakhirat ka raasta dikhane wala?
Yeh bayaan humein apni zindagi, niyyat aur rawaiyyon par ghour karne ki dawat deta hai aur Allah ki taraf rujoo ki ahmiyat ko samjhata hai.
Masjid Dar-ul-Islam
Khutba Jummah
M***i Bilal Ahmad Butt
Agar bayaan pasand aaye to Like, Share aur Subscribe zaroor karein taake mazeed islahi aur rehnuma bayanaat aap tak pohanchte rahen.
Allah hum sab ko samajhne aur amal karne ki taufeeq ata farmaye. Aameen.
***iBilalAhmadButt