27/09/2026
Surah Ar-Rahman ki Ayat 27–31 humein duniya ki fana aur Allah Ta'ala ki baqa ki yaad dilati hain.
Duniya ki zindagi aur us ki tamam dilchaspiyaan ek din khatam ho jayengi. Aasmanon aur zameen mein jo bhi hai, woh Allah Ta'ala ka mohtaj hai. Har lamha woh apne bandon ki zarooriyat puri farmata hai aur har makhlooq usi ki taraf mohtaj hai.
Phir Allah Ta'ala jinn aur insaan dono ko “thaqalain” keh kar mukhatib farmate hain.