Hazrat Ali - A.S farmate hai...
Sabar Ki 2 Soorate Hai.
1- Jo Na Pasand Ho Usay Bardasht Karna.
2- Jo Pasand Ho Uska Intezaar Karna.
Hazrat Ali - A.S
"Lion of Allah"
Dosti ki zeenat ek doosre ki baaton ko bardasht krna hai.
Be-aib dost talaash mat karo warna akele reh jaoge... Hazrat Ali - A.S
Jab insaan Naraazgi khatam karne me pehel karta hai,
To eska ye matlab nahi ki wo galat tha,
Eska matlab hai ki use Ana se zyada Rishta azeez tha... Hazrat Ali - A.S
Maula-e-Kainaat Hazrat Ali ibne Ibi Talib a.s farmate hai ki...
Duniya me kabhi kisi ache insaan ko talaash mat karo,
balki khud ache ban jaao...
Ho sakta hai ki tmhare es amal se kisi aur ki talaash khatam ho jaaye... Hazrat Ali - A.S
Zindagi Jeene ke sirf 2 he raaste hai...
1- Bhool jaao unhe jinhe maaf nahi kr skte.
Aur
2- Maaf krdo unhe jinhe bhool nahi sakte.
Hazrat Ali - A.S
Tamam Rishton me sabse kamzor rishta tumhare j**m aur tumhari rooh ka hai, najaane kisi waqt aur kaha toot jaaye... .s
a.s
Jo paak daman aurat par ilzaam lagata hai
use salam mat kro...
🌹 *_Hazrat ALI(a.s)_* 🌹
Jab Aqalmand Boodha hota hai to Uski AQL Jawaan ho Jaati hai
AUR
Jab Jaahil Boodha hota hai to Uski JIHALAT (ignorance) Jawaan ho Jaati hai...
Kamzoor par Zulm krna badtareen Zulm hai.
Moula Ali (a.s)
Source: Tajjilyat e hiqmat
Khutba No 2 Nehjul Balagha
Hazrat Ali - A.S ne farmaya: Khuda ki qasam farzand e Abu- Qahafa ne pairaahan e khilaafat pehan liya haalaankay wo meray baarey me achi tarah jaanta tha k Mera khilafat me wohi muqaam hai jo chakki k andar is ki keeli ka hota hai. Mein wo (buland pahaar hoon) jis par se sailaab ka paani guzar kar neechay gir jaata hai aur mujh tak parinda par nahi maar sakta...
(Khutba No 2 Nehjul Balagha)
Hazrat Ali AS ne farmaya:
Es ummat me se kisi ko Aal e Muhammad S.A.W.W par qayaas nahi kiya ja sakta. Jin logon par Un k ahsaanaat hamesha jaari rahay ho wo in k barabar nahi ho saktay. Wo deen ki buniyaad aur yaqeen k satoon hain. Aagay badh jaanay waalay ko in ki taraf palat kar aana hai aur peechay reh jaanay waaley ko in se aa kar milna hai. Haq e wilaayat ki khasoosiyaat inhi k liye hain aur inhi k baarey me Paighamber ki wasiyat aur inhi k liye wirasat hai.
Kisi Shaks Ko Itni Pyaar Do K Koi Gunjaish Na Chodo..
Agar Woh Phir Bhi Tumhara Na Ban Sakay To Use Chhod Do... Kyn Ke Woh Mohabbat Ka Talabgar Hi Nahi, Woh Sirf Zarurt Ka Pujari Hai...
Hazrat Ali a.s
Click here to claim your Sponsored Listing.
Location
Category
Contact the school
Website
Address
Najaf