11/05/2026
Alhamdulillah guzishta Kal ek taliba ne Norani Qayeda Mukammal Kar ke Quran majeed ki suruvat ki hai dua farmayen ke allah tala is bacchi ko jald az jald quraan majeed mukkamal karne ki toufeeq ata farmaye.
Contact information, map and directions, contact form, opening hours, services, ratings, photos, videos and announcements from Madarsa Arabia jamalul quran Parkal, Education, Vikas nagar, Warangal.
11/05/2026
Alhamdulillah guzishta Kal ek taliba ne Norani Qayeda Mukammal Kar ke Quran majeed ki suruvat ki hai dua farmayen ke allah tala is bacchi ko jald az jald quraan majeed mukkamal karne ki toufeeq ata farmaye.
Madarsa Arabiya Jamalul Quran Vikas ki ek taliba (beti Allah ki badi nemat hai) ke unwaan par roshni taqreer pesh karte howe.
Ek behtaree mukalima aap ke peshe khidmat hai.
Ramzan se mutaalliq ek behtareen nazme aap ke peshe khidmat hai
Taqreer Ilme Deen ki Ahmiyat o Fazilat
My daughter Barira kounain
20/03/2025
Apna qeemti tawun madarsa arabiya jamalul quran Parkal ko enayat faramyen.
Jazakallahu khaira.
Qazi M***i Mohammad Azharuddin Hussami Parkal
16/02/2025
Alhamdulillah aaj baroz itwar 16 February ko Madarsa Arabiya Jamalul Quran Vikas nagar Parkal main salana imtehan munaqid howa jisme Mumtahin ki haisiyat se Hazrat Moulana M***i Mukarram Mohiuddin sab Maddazilluhu isi tarha Hazrath Moulana Md Mujeebuddin sab Maddazilluhu aur Hazrat Moulana Giyasuddin sab Maddazilluhu tashreef laye hain alhamdulillah talaba wa talibaat ne talaeemi Etebaar se Accha muzahera farmaya.
Uske Baad mahe Ramazanul mubarak aur hamari zimmedariyan ke unwaan se khawateen me khitaab howa jisme Hazrat Moulana Muhsin sab Qasmi Naqshbandi maddazilluhu ne Ramzan ki Ahmiyat par roushni dalte hove ek Accha paigam ramzan ke naam ata farmaya us ke baad mehmaan ne kiram apne Qeemti waazu naseehat ke zariye se deene Islam ka paigam pahunchte hove jalse ka ekhtetaam farmaya.
Qazi M***i Mohammad Azharuddin Hussami Parkal.
15/02/2025
Salana imtehan aur jalsa madarsa arabiya jamalul quran Parkal
02/12/2024
Alhamdulillah aaj baroz itwar 1 December 2024 ko Md Subhaan wald Md Saleem sb ke Farzand ne Norani Qayeda Mukammal Kar ke Quran majeed ki suruvat karchuke hain alhamdulillah, dua faramyen ke allah tala is bache ko deen ke liye qabool farmaye aur madarse ki khidmaat ko bhi qabool farmaye.
17/11/2024
Aaj alhamdulillah madarsa arabiya jamalul quran Parkal main khawateen ka program raha jisme kaseer tadad maujood thi isi tarha talaba wa talibaat me deeni taleem ki ahmiyat aur zarorat ke unwaan par naseehat ki gayee
Jeske mehmaan ne khususi muhtaram moulana m***i bilal bin hussain aur hafiz Abdul Raheem niyazi sab is mouqe se dekhe jasakte hain.