Uttar Pradesh Sangarsh Samiti BTC 2011,DIET,Unnao

Uttar Pradesh Sangarsh Samiti BTC 2011,DIET,Unnao

Share

This is the group of Trainees who are undergoing the two year elementary education Course from DIET Unnao.This course is run by"Basic shiksha Parishad"

10/12/2014

सभी भाइओं से अनुरोध है कि वह कल इलाहाबाद अवश्य पहुंचें| सारे काम धाम छोड़ कर| इस संघर्ष मे अपनी उपस्थिति दर्ज करके अपने को गौरवान्वित महशूस करें|धन्यवाद||||| ध्यान सिंह|

Photos from Uttar Pradesh Sangarsh Samiti BTC 2011,DIET,Unnao's post 03/12/2014

संघर्ष के कुछ पल जिनमे मीठी यादें छिपी हैं|

Photos from Uttar Pradesh Sangarsh Samiti BTC 2011,DIET,Unnao's post 03/12/2014

धीरे धीरे यहाँ का मौसम बदलने लगा है.............

Photos from Uttar Pradesh Sangarsh Samiti BTC 2011,DIET,Unnao's post 03/12/2014

Salute to bravery of our brave soldiers.

Photos from Uttar Pradesh Sangarsh Samiti BTC 2011,DIET,Unnao's post 03/12/2014

Good josh of our team at allahabad movement.

Photos from Uttar Pradesh Sangarsh Samiti BTC 2011,DIET,Unnao's post 03/12/2014

Witness of our movement.

Photos from Uttar Pradesh Sangarsh Samiti BTC 2011,DIET,Unnao's post 03/12/2014

Sweet memory of the sangharsh morcha.

22/11/2014

Priya bhaion aur bahno jaisa kal ki meeting( saciv sanjay sinha ji ) dwara yah awagat karaya gaya hai ki 24,25 tak time table bhej diya jaayega aur dec pratham saptah se prakriya chalu ho jayegi to doston humne v humari team ne dharna nirast kar diya hai tatha hum logon ne 25 Nov 2014 Ko aap logon (UnnaoDiet) Se mulakat evam kuch mahtwapurn binduon per charcha ke liye 10,30 Ka samay Diet me rakha hai.aap log puri sankhya me upasthit hone ki kripa kare.thank u.Dhyan Singh

14/11/2014

Mere pyare unnao ke btc 2011 ke bhai bahno aaj sabse pahle hum apne gurujano aur anya prernashroton ko pranam karte huye yah khusi jahir karte hain ki aaj is baat par puri tarah se muhar lag gayi hai ki aapki niyukti ka sangharsh antim padav me hai. Doston aaj hume yah bataane me garva ho raha hai ki aap sabhi ki prerna aur sahyog se hum aur humari team ne jo sangharsh Appearing TET se lekar any sari chije chahe vah 3rd semester ka result ho ya fourth semester ke exam ki date lane me aur bhi any kai gatividhiyon me jo aap logon ne saath diya uska mai aabhari hun.mitron humare dwara ManniyaShikshMantri ji ko saunpe huye patra ke jawab meSCERT nideshak ke yahan se jawab aa gaya hai jo vigat dino me hui karyavahi ka praman hai jisme manniya mantri ji ne nideshak ji ko sandarbhit kiya hai yah bahut hi khusi kavisay hai.Doston humne abhi tak kahi bhi har nahi mani hai iska shrey mai apni team me shamil har mod per sath denewale Yogesh Pandey ji adhyaksh Dhiraj Singh ji, Ramashankar ji,Pradeep ji ,Satyendra ,Deepak aur mere sabhi x-Seviceman bhaion v janpad ke Dietians evam pradesh ke btc 2011 Batch ke sabhi bhai bahno ko deta hun, unka tahe dil se dhanyavaad hai.Mitron is b**h fb per humare hi kuch nadan bhaion ne aarop pratyarop lagaye kuch ne gali galaoj bhi kiya to doston mai unse mafi chahta hun ki is b**h apne se agar jane anjaane me koi galti hui ho to hume aur unhe dono ko maaf karna.Aaj allahabad wala kam yogesh ji aur team ne karwane ki kosis ki hai monday tak pata chal jaayega.Doston jald hi hum log ek mulakaat karenge. Vah patra maine post kiya hai aap log dekh sakte hain.baki ki jaankari sangharsh morcha wali site par le sakte hain . Dhanyavaad. Dhyan Singh

18/10/2014

mere pyare unnao ditians wish u happy diwali.
doston aaj hum sab log gaorawanvit ho rahae hain ki humari diet ke kuch bandhuon ke prayas se maine manniya mukhya mantri ji se bhet ki aur apni baat kahi. saathio hum sabhi se ek mulakaat karna chah rahe hain aage ki ranniti tay karne ke liye ,isliye aap sabhi monday ko(20-10-2014) subah 11 baje diet me puri sankhya me ekatra hon .
dhanyavaad
dhyan singh

16/09/2014

pyare bhaion aur bahno aapko bahut dukh hua hoga yah khabar sunkar ki itna athak prayas karne ke bavjood bhi shashan ne humari mang sweekar nahi kiya.doston ab yah humari aakhiri aur nirnaya bhumika hogi. agar hum isme kaamyab hona chahte hain to sabhi prashihuon se gujarish hai shantipurn satyagrah ko safal banane ke liye pure tan.man.dhan se aap sabhi 18-9-2014 Ko lakshman mela park me thik 10 Baje( park ke andar naaki bahar) Ektra hokar apni shishak ki garima ko dhyan me rakhte huye shantipurwak satyagrah se apni maang sweekar karayenge aur apni puri sankhya se dabav banayenge.ab doston anya jagah samay na barbad karte huye Apni apni diet ke sabhi bhaion ko motivate karke shat pratishat upasthiti darj karakar apni niyukti ke liye sangharsh karen.dhanyavaad.

10/09/2014

mitro namaskar,
Sabse pahle sarahna un bhaion ki , jinhone pratyaksh roop se manniya mukhya mantri ji tak apni baat pahunchayee hai .Jaisa ki humare diet bhogaon (mainpuri) ke bhaion ne apna kaam karke dikhaya hai .bhaion ise kahte hai kaam. aaj un bhaion ne bagair facebook pe badi badi baaten kiye huye ek aisa sandesh diya hai un facebook netaon ko jo kewal aur kewal copy paste kar rahe the aur jo kaam kar rahe hain un par yani shirsh nretatwa par ungli utha rahe the . mitron pahle yahi log dharne ke liye itna utawle ho rahe the par ab jabse date declare ho gayi hai to inme se koi aisa nahi aaya hai jo dharne ki permission lene jaaye. kahan gaye mere facebook wale bhai? Hum khule munch par unhe aamantrit karte hain ki vo permission lekar aayen hum unhe pura samarthan karenge.kyonki unhe bhi koi malal na rahe ki unhe koi mauka nahi mila.saath me hum unhe hatotsahit bhi nahi karenge jaisa vah sabhi conferencing aur messeging ke jariye abhadra bhasha ka prayog karke shirsh nretatwa par ungli utha rahe hain.mitron hum btc 2011 ke anya sabhi prashikshuon ke samne yah baat isliye rakh rahe hain ki agar yah log permission nahi la sakte hain to jald hi yah baat prakat Karen taki shirsh nretatwa apne hisab se usi date me permission lene ki kosis karega. Mitron is beech agar khush khabri aa jaati hai to buhut achchi baat hai anyatha apna programme to fix hai hi aur uparwale ne chaha to shantipurwak satyagrah ke dwara hum ise prapt kar hi lenge.dosto in ek mahine me shirsh nretatwa kitne chakkar Allahabad aur lucknow ke laga chukka hai yah baat likhne se koi matlab nahi hai par aap sabhi sonche ki unhi bhaion ko agar log conferencing/messeging ke jariye gaali denge to unhe kaisa lagega fir bhi yah humara vaada hai ki hum usi tallinta aur lagan se kaam karenge par yah baat vah log bhi jaan len ki facebook pe aur lucknow aakar ek ek office me 7/8 ghante khade khade gujarne me kya antar hota hai.doston mai apne se jude huye un bhaion se maafi maangta hun aur yah kah raha hun ki ek baar un bhaion se jaroor kahe ki kya yah kaam vah karke denge ya nahi agar nahi to facebook ki leadership choren aur kisi ko hatoshahit naa kare aur na hi khushkhabri milne par dubara facebook ke madhyam se vahvahi batorne ki kosis karege ki yah sirf unke prayas ka natija tha.humari team ki vyatha ko log galat na samjhe aur unhe phone ya messege/conference ke jariye apni choti mansikta ka parichay naa de yah humari team ka haanth jodkar nivedan hai .
Dhanyavaad.

Want your school to be the top-listed School/college in Unnao?

Click here to claim your Sponsored Listing.

Location

Category

Telephone

Website

Address


District Institute Of Education And Training
Unnao
209801