10/04/2021
🌴Ramzan pane ke bawajud maghfirat haasil na kar sakne wale ke liye halakat hai🌴
🌴Hazrat abu hurairah radhi ALLAH anhu farmate hai ke ek baar rasul ALLAH sallallahu alaihi wasallam ne mimbar par chadhte waqt teen baar farmaya 'ameen', 'ameen', 'ameen'. Sahaba kram ridhwan ALLAH alaihim ajmaeen ne arz kiya, ya rasul ALLAH! Aap ne mimbar par chadhte waqt teen baar farmaya, ameen, ameen, ameen. Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya, "Jibreel alaihi salam mere paas aaye aur kaha, us aadmi ke liye halakat hai jis aadmi ne ramadhan ka mahina paya aur apne gunaaho ki bakhshish aur maafi haasil na kar saka, uske jawab me maine 'ameen' kaha. Phir jibreel alaihi salam ne kaha, halakat hai us aadmi ke liye jiske saamne aap sallallahu alaihi wasallam ka zikr kiya jaye aur wo aap par durood na bheje, maine us ke jawab me bhi 'ameen' kaha. Phir jibreel alaihi salam ne kaha ke jis shakhs ne apne maa baap ya dono me se kisi ek ko budhape ki haalat me paya aur unki khidmat karke jannat haasil na ki uske liye bhi halakat ho, maine jawab me kaha 'ameen."
Ibn habban h (3/188)
🌴 NOTE 🌴
Is hadis se saaf zaahir hai ke badnaseeb hai aise log jinke liye jibreel alaihi salam ne baddua ki aur rasul ALLAH sallallahu alaihi wasallam ne 'ameen' kaha. Har shakhs ko chahiye ke wo apne aap ko dekhe ke kya usne is ramadhan me apne gunaaho ki maghfirat haasil karne ki koshish ki? kya usne koi aisa gunaah nahi kiya ke jo uski sari ibadat par pani pher de? Kya usne nabi sallallahu alaihi wasallam ka zikr hone par hamesha durood bheja? Kya usne apne maa baap ka dil dukha kar jannat ke darwazo ko band to nahi kiya? ALLAH hum sabko apne andar jhaak kar in sawalo ke jawab haasil karne ki taufeeq de. AMEEN
🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴