Mafhum-e-Hadith: Ramadhan ki (raato mein )Namaz padney ki fazilat
Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: Ramadhan ki (raato mein )Namaz padney ki fazilat
مَنْ قَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ
Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jisney Ramadan ki raato mein Imaan aur sawab ki niyat ke saath namaz padi uskey pichley tamam gunaah maaf kar diye jatey hain
Sahih Bukhari, Vol 3, 2009
Unity Among Muslim
This is the page of quran aur hadith where u can get information about quran aur hadith INSHA ALLAH
SIRF ALLAH SE HI MADAD KYU??
Oct 5
Posted by Faisal Khan
Abu Dhar(ra) se riwayat hai ki unhone Rasoollullah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se suna ki Allah Subhanahu ne farmaya:
“Ai Mere bando maine zulm ko apne upar haram kiya hai aur tum par bhi haram kiya… to ek doosre per zulm na kiya karo”
“Ai mere bando tum sab gumraah ho siwa uske jise maine hidayat di.. Tum mujhse hidayat maango mai tumhe hidayat doonga”
“Ai mere bando tum sab bhooke ho siwa uske jisey mai ne khana khilaya…Tum mujhse khana maango.
Mai tumhe khana doonga..”
“Ai mere bando tum sab nange ho siwa uske jisey maine libas pehnaya..Tum mujhse libas maango.
Mai tumhe libas doonga”
“Ai Mere bando tum raat din gunaah karte ho aur main sab gunaahon ko maaf krta hoon…to bakhshish maango mujhse main bakhshunga tumko”
“Ai mere bando tum mera kuch nuksaan nahi kar saktey aur na mujhko faayda pahuncha saktey ho.
Ai mere bando agar tumhare agle aur pichle aur aadmee aur jinnat sab aisey ho jaaye jaisey tum mein ka bada parhezgar to meri sultanat mein kuch afzayeesh (Addition) na hogi aur tum mein agle aur peechle aur admee aur jinnat sab milkar aise ho jaye jaise zameen ka bada badkaar shaksh to meri Saltanat mein se kuch kami na hoga”
“Ai mere bando agar tumhare agle, pichle aur aadmee aur Jinnat sab ek maidan mein khade ho phir mujhse maangna shuru kare aur main har ek ko jitna maange de du tab bhi mere paas jo kuch hai wo kam na hoga magar itna jaise dariya mein suyee daal kar nikal lo.”
“Ai mere bando ye tumhare hi aamal hain jinko tumhare liye shumar karta rahta hun phir tumko in aamal ka pura badla doonga… to jo shaksh behtar badla paye use chahiye ki Allah Subhanahu ka shukr kare ki uski kamayee bekar na gayee aur jo bura badla paye to apney hi aapko bura samjhe.”
Hazrat Said Radi Allahu Anhu ne kaha ki Abu Idris jab ye hadith bayan karte to apne ghutno ke bal gir padhte.
Sahih Muslim, Vol-6, 6572.
jarjis ansari
Mafhum-e-Hadith: Ramadhan ki (raato mein )Namaz padney ki fazilat
Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: Ramadhan ki (raato mein )Namaz padney ki fazilat
مَنْ قَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ
Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jisney Ramadan ki raato mein Imaan aur sawab ki niyat ke saath namaz padi uskey pichley tamam gunaah maaf kar diye jatey hain
Sahih Bukhari, Vol 3, 2009
Hadith: Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai
Bismillahirrahmanirrahim
Hadith:Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai
Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai Aur Baad Namaz farz ke tahajjud Ki Namaz Hai
Sahih Muslim , Vol 3, 2755
Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki ek sahib Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki khidmat mein hazir hokar arz karney lagey ki Ramadhan ke baad sabse ziyada fazilat kaunsey rozo ki hai to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah ka mahina jisey tum Muharram kahtey ho.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 ( Sahih)
Mafhum-e-Hadith: ALLAH ke liye Ek Roza rakhne ka sawab
Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: ALLAH ke liye Ek Roza rakhne ka sawab
Abu Said Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney ALLAH ke raastey mein ek din bhi Roza rakha ALLAH taaala usey jahannam se 70 saal ki musfat ki duri tak dur kar dega.
Sahih Bukhari, Vol 4,2840
ROZA HUM PAR KYUN FARZ KIYA GAYA ISKI WAJAH KYA HAI ????
Aye logo jo iman lay ho tum par roze issi tarha farz kiye g*e hai jis tarha tumse phele ummatiyo par farz kiya gaya tha take tum muttaki (( gunaho se bachne wale )) banjao
((SURE BAQRA AYAT : 183))
IS roze ki farz karne ki zarurat kya hai allah ta.ala ne uppar ayat me bata diya
Aur nabi sallahu alaiwasallam ne bhi issi tarha farma diya ke
Roza gunaho se bachne ke liye dhal hai rozedar fahesh ( yani be fizul ) bato aur koi behuda kaam na kare agar koi shaks gali galoch aur ladae jhagde par utar aye to sirf itna kahede mai roze se hu
(( SAHI BUKHARI ))
ROZA IFTAR KE SHURU AUR BADH KI DUA YE PADE >
Online
:
Hazrat abdullah bin umar (r.a) se riwayat hai ke Nabi sallahu alaiwasallam jab roza iftar farmate to ye dua padhte
ذَهَبَ الظَّمَأُ ، وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ ، وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللهُ -
Zaha baz zama ua wabtallatil aruku wasabatal ajru in sha allah
TARJUMA :
Pyas khatam hue rage tar ho g*e aur roze ka sawab in sha allah pakka ho gaya
((ABU DAWOOD : 2066))
Aur roza kholte waqt sirf BISMILLAH kahe aur
((SAHIH BUKHARI : 5376))
koi dusri dua yani alhumma inni lakasumtu wa bikamantu ye dua sahi hadees se sabit nahi hai
Ap sunnat par amal kare aur roza kholne ke bad ye uppar wali dua pade
ROOZEY KI EHMIYAT
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Anas bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ramazaan aya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Ye mahina jo tum par aya hai is mai ek raat aesi hai jo (jo qadr k etabaar se) hazaar mahino se behtar hai, jo shaks is (ki sa'aadat hasil karne se) mehroom raha wo bhalayi se mehroom raha, neez farmaya LAILATUL QADR ki sa'aadat se sirf be naseeb hi mehroom kiya jata hai. (Ibne Maja, Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1333)
RAMAZAAN PAANE WALE K BA WAJOOD MAGFIRAT HAASIL NA KAR SAKNE WALE K LIYE HALAKAT HAI
Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu farmaat hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba Razi Allahu Anhum se farmaya: mimbar lao, hum mimbar laye jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam pehli seedhyi chadhey to farmaya:"Aameen", phir jab doosri seedhyi chadhey to farmaya:"Aameen", isi tarah aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam teesri seedhyi chadhey to farmaya:"Aameen", Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mimbar par nichey tashreef laye to hamne arz kiya Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aaj humne aap se aesi baat suni jo is se pehle kabhi nahi suni, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Janaab Jibraeel Alaihis Salaam mere paas aye aur kaha:"us aadmi k liye halakat ho jis aadmi ne ramazaan ka mahina paya aur apne gunaho ki bakhsish aur maafi hasil na kar saka"uske jawab par mene Aameen kahi, phir jab mai doosri seedhyi par chadha to janab Jibraeel Alaihis Salaam ne kaha: Halakat hai us aadmi k liye jis k saamne aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka zikr kiya jaye aur wo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par darood na bhejey, mene uske jawab mai Aameen kahi, phir jab mai teesri seedhyi par chadha to janab jibraeel Alaihis Salaam ne kaha:"Jis shaks ne apne maa baap ya dono mai se kisi ek ko budhapey ki halat mai paya aur unki khidmat karke jannat hasil na ki uske liye bhi halakat ho, mene uske jawab mai kaha Aameen"(Mustadrak E Haakim, Sahih Targeeb wa Tahzeeb Hadees no. 985)
ROOZA KHORO KA IBRAT NAAK ANJAAM
Hazrat Abu Umama Bahali Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna:"mai soya hua tha aur mere paas 2 aadmi aye unhone mujhe baazuo (haatho) se pakda aur mujhe ek mushkil chadhayi wale padhaad par laye aur dono ne kaha:"is par chadhey"mene kaha:"mai nahi chadh sakta"unhone kaha:"hum aapke liye sahulat paida kar denge"pas mai chadh gaya hatta k mai pahaad ki chooti par pahuch gaya, jaha mene shadeed cheenkh pukaar ki aawaaz suni, mene pucha:"ye aawaaz kesi hai?"unhone bataya:"ye jahannamiyo ki cheekh wa pukaar hai"phir wo mere saath aagey badhey jaha mene kuch loog ulte latke hue dekhey, jinke muh ko cheer diya gaya hai jis se khoon beh raha hai mene pucha:"ye kon hai?"unhone jawab diya:"ye wo loog hai jo rooza waqt se pehle iftaar kar liya karte they". (Ibne Khuzaima, Ibne Hibban, Sahih Targeeb wa Tahzeeb Hadees no. 995)
Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
1. Hadith: Allah subhanahu us shaksh ki taraf nazar-e-Rahmat nahi karega jo apna kapda takabbur aur Gurur ki sabab se Zameen par Ghaseet kar chalta hai
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu us shaksh ki taraf nazar-e-Rahmat nahi karega jo apna kapda takabbur aur Gurur ki sabab se Zameen par Ghaseet kar chalta hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 5783
2.
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallamne farmaya Allah subhanahu us shaksh ki taraf nazar bhi nahikarega jo apna kapda takabbur aur Gurur ki sabab se Zameen par Ghaseet kar chalta hai hazrat Abu Bakr Radi Allahu Anhu se Arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallammere tahband ka ek hissa kabhi latak jata hai magar ye ki khas taur par iska khyal rakhu , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ffarmaya tum un logon mein se nahi ho jo Aisa takabbur se kartey hainSahih Bukhari, Vol 7, 5784
3.
Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Tahband (kapdey) ka jo hissa Takhno se neechey ho wo Jahannam mein hogaSahih Bukhari, Vol7, 5787
HADEES
******
Huzoor SALLALLAHU-ALAI HI-WASALLAM Ne Farmaya Ki ALLAH-TA'AALA Ne Tumahre Darmiyan Akhlaak Ki Isi Tarah Taksim Farmayi Jis Tarah Rizk Ki! ALLAH-TA'AALA Duniya Use Bhi Deta Hain Jo Use Mehboob Ho Aur Use Bhi Jo Mehboob Nahi! Aur Deen Sirf Usi Ko Deta Hain Jo Uske Nazdiq Pyara Hain! Lihaza Jisko Khuda Ne Deen Diya Use Mehboob Bana Liya!
(Kanoon-A-Shari -at, Pg-530)
*************** *************** **
Click here to claim your Sponsored Listing.
Location
Category
Telephone
Website
Address
Siwan
841226