23/07/2026
GUMBAD-E-RAZA KA DESIGN KISNE BANAYA
`Bahut kam log jaante hain ke (Khalifa-e Aala Hazrat) Hazrat M***i Mahmood Jaan alaihirrahmah, Sayyidi Aala Hazrat alaihirrahmah ke Gumbad ka naqsha banane wale the`
Hazrat M***i Mahmood Jaan alaihirrahmah ne apna tayyar kardah naqsha, jo unhone qalam na hone ki wajah se jali huyi maachis ki teeliyo'n se banaya tha Hazrat Hujjat-ul-Islam alaihirrahmah aur Hazrat M***i-e-Aazam Hind alaihirrahmah ki khidmat mein pesh karte huye arz ki :-
`Huzoor Aaqa-e-Do Aalam sallallahu alaihi wa sallam ke Gumbad-e-Khazra ke qareeb ek minaar hai aur us minaar par safed aur kaali dhariyan maujood hain chunanche Aala Hazrat alaihirrahmah ne apni poori zindagi Sarkar sallallahu alaihi wa sallam ki azmat-o-rif'at ko bayaan karne aur dushmanane Rasool sallallahu alaihi wa sallam ka ilmi radd karne mein guzaar di isliye meri khwahish hai ke Aala Hazrat alaihirrahmah ke Gumbad par bhi wahi safed aur kaali dhariyon ka naqsh banaya jaaye jo Gumbad-e-Khazra ke pahlu mein waaqe us minaar par maujood hai`
Hazrat Hujjat-ul-Islam, Hazrat M***i-e-Aazam Hind, Sadrush-Shari'ah aur us daur ke deegar akabir ulama radiallahu anhum ko yeh naqsha bahut pasand aaya aur sab ne muttafiqah taur par faisla farmaya ke yahi naqsha Sayyidi Aala Hazrat alaihirrahmah ki Dargah Shareef ke liye sab se zyada munasib hai
Hazrat M***i Mahmood Jaan alaihirrahmah ne us zamane mein 10,000 rupaye ka maali ta'awun bhi pesh kiya aur Dargah Shareef ki ta'meer mukammal hone tak Bareilly Shareef mein hi qiyam farmaya
Aap aksar farmaya karte the :-
`Jaisa yeh Mujaddid anokha hai, waisa hi unka mazaar bhi anokha hona chahiye`
—Tazikra-e-Mahmoodi