16/11/2022
Aajkal kids school jaanaa nahin chaahate. Jab maine school n aane ka kaaran puchha to bachche ne bataayaa ki ghar par cartoon dekhenge. Maine jab kahaa ki dekho itane dost hain tumhaare,inke saath khelo to usane kahaa " majaa nahin aataa, khelane me." Maataayen bhi Magan ho jaati hain,bachchon ko mobile pakaraakar,dusare mobile se baat karne me.Isame bachchon ka dosh kahaan hai, Ham bare hi to unko bhaavnaaon se door kar mashini banaa rahe hain.