08/02/2024
Maazirat ke Sath...
Aaj ke ulema ki baaten awam ke dil me keun nahi utar rahi?
Baat hogi aaj March'2006, mai Madhyamik ka last exam dekar laota tha, uss din mai zara jaldi me tha q ke usi din Telinipara, Hooghly, me ek Azimush-shan Jalsa munaqid huwa tha. Uss Jalsa me Qamaruzzaman ki tashrif awari hone wali thi...
Hooghly zila se chahne walon ki bhid jama thi, bhid ho bhi q nahi Hazrat ki aadhi adhuri jo baqi thi jo 20 saal pahle usi jagah par chhor kar gaye the...
20 saal pahle Allama Qamaruzzaman Saheb "La Ilaha Illallah" Par lambi taqrir kiye huwe the aaj unhen "Muhammadur Rasulullah" ( Peace be upon him) par bolna tha... Sabko Hazrat ki taqrir sunna tha aor mujhe sirf uss nurani chehre ka deedar karna tha...
Mai unki 56 lambi lambi taqriren mai pahle hi memory card se sun chuka tha. Lachchi daar taqriren to aaj kal sab kar lete hain, lekin Allama jaisa mai koi dusra Allama nahi dekha aor aysa lagta hai ke budhape tak mujhe waisa Aalim ba Amal milna mushkil hai.
Haan to hum baaten kar rahe the ke ulema ki baaten asar q nahi karti hain, iska simple sa jawab se dena chahunga, mai Padha tha kahin ke kahta hai tum aisi baaton ke karne ka hukm keun dete ho jabke tum khud nahi karte.
Aalim ka Amal karna aisa hai jaise koi doctor pahle khud practice kare phir dusron ko practice karne ko kahe...
Mai na kisi Aalim ke khilaf hun aor na meri jurrat hai. Mai apne aamal q akarat karunga, Naayeeb-e-rasul ki mukhalifat kar ke. Mai itna kahta hun Quran to badi Paak Pawitr kitab hai.
Hazrat Alaihe salam ke farmay gaye 10 Points me aaj ke 95% ulema nakam hain, aor jab leaders aise honge to followers kaise honge.
Zarurat iss baat ki hai ke hum sabko Aalim Ba Aamal ki talash karni hogi, na mile to se waise Aalim paida karna hoga. ....