27/08/2015
امیر المومنین حضرت عمر رضی اللہ تعالی عنہ کا ہی واقعہ ہے کہ ایک دفعہ تقریر میں کہا کہ "ساتھیو! ایک زمانہ میں میں اس قدر مفلس تھا لوگوں کو پانی بھر کر لا دیا کرتا تھا، وہ اس کے بدے میں مجھے چھوہارے دیا کرتے تھے وہی کھا کر گزارا کرتا تھا" یہ کہ کر منبر سے اتر آئے، سامعین کو تعجب ہوا کہ یہ منبر پر کہنے کی کیا بات تھی؟ فرمایا کہ میرے دل میں زرا غرور آگیا تھا یہ اس کا علاج ہے"
31/05/2015
Alhamdulillah for everything.
23/02/2015
Ay Woh Logo Jo Zaban se to Imaan Laye ho Magar Jinke dilo me abhi tak Imaan dakhil nahi huva, Naa to Musalmaano ki Gibat kro aur Naa hi Unke Poshida Aib Talaash karo, Kyu ki Jo Musalmaano ke Poshida Aib Talaash karta hai, ALLAH uske Aib Zaahir farma dega aur ALLAH jiske Aib zaahir farma de to woh use Zalilo rusva kar dega agarche woh Apne Ghar ke Andar baitha hua ho.
[ ABU DAAUD jild 4 page 354 hadis 4880 ]
22/12/2014
Bulandi Ko Allah Ne Aajizi Aur Inkisaari (Chota Pan) Me Rakh Diya Hai
Aur Log Usse Takabbur (Ghamand) Me Talaash Karte Hain.
Ta'ana Aur Bahas Se Rishte Kamzor Par Jate Hain,
Lihaza Apno Se Kabhi Bhi Aisi Larai Mat Larna Ke Larai To Jeet Jao,
Magar Apno Ko Haar Jao .
14/12/2014
Namaaz Ke Waqt Tawaaf e Ka'aba Ruk Sakta Hai
To Phir Namaaz Ke Waqt Hamara Karobaar Aur Dusre Kaam Kyun Nahi Ruk Sakte????
29/11/2014
Rasool Allah SalLalLahu Alaihy Wasallam k irshad he: Naiki k alawa koi Cheez bhi umar Main izafa nahi karti, aur dua k Siwa koi cheez taqdeer ko nahi badal Sakti, aur insan ko rizq se mehroom karne wali cheez uski bada'amli hai.
Ibne Majah, Hadees:90.
17/11/2014
Hazrat Abu Huraira RaziAllah Anhu se Riwayat hai k RasulAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aik din Irshad Farmaya: “kya tum jante ho ki Gibat kis ko kehte hain? Hazrate Sahaba RaziAllah Anhu ne Arz kiya, Allah aur us k Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) hi ko Zyada ilm hai, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Tumhara apne kisi bhai ka is tarah zikr karna jo us ko na pasand ho (yahi Gibat hai), kisi ne Arz kiya k, Agar wo baat mere bhai me moujood ho jo mai bayan kar raha hun (to kya ye bhi Gibat hai?), Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irhsad Farmaya: Gibat jab hi hogi jab k wo burai us me Maoujood ho, aur agar us me wo Burai nahi (jo tum ne bayan ki), to phir ye to Bohtan huwa (Jhoota Ilzam) (Aur ye Gibat se bhi zyada sakht aur Sangeen hai).
(Musllim)
Allah Ham sabhi ko hidayat.. Aameen
21/08/2014
✦...... Koi Kaam Karne ka Iradah Karo to In'sha'Allah Kaha Karo ......
⇨ Urdu Translation: "Aur hargiz kisi kaam par yun na
kehna ke main ise kal kardunga. Magar sath hi
InshaAllah keh lena (yani agar khuda chaha to
kardunga). Aur jab bhi Bhoole apne parwardigar ko
yaad kar liya karna aur kehte rehna mujhe poori
ummeed hai ke mera Rab mujhe is se bhi ziyada Hidayat ke Qareeb ki baat ki Rehbari karey." (Qur'an
18:23-24)
••► "Mufassireen Kehte hain ke Yhudiyon ne Nabi
Sallallahu Alaihi Wasallam se Teen (3) baten puchi
thi.. Rooh ki haqiqat kya hai, Ashab kahf aur
Zulqarnain kon the? Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam
ne Farmaya: Main tumhein kal Jawab dunga, Lekin is
ke baad 15 din tak Jibraeel a.s Wahi lekar nahi aaye, Phir jab Aaye to Allah Tala ne In'sha'Allah kehne ka
ye Hukm diya".
◈ ➲ Ayat Mein(kal) se Muraad Aane wala din hain
Yani jab bhi Mustaqbil Qareeb ya dair se koi kaam
karne ka Irada karo to In'sha'Allah Zaroor kaha
karo, kyun ki Insan ko to pata nahi ke wo Jis Irade
ko zahir kar raha hai, Uski Toufeeq bhi Allah ki taraf
se milni hai ya nahi?
◈ ➲ Agar Baat cheet aur wada karte waqt In'sha'Allah
kehna bhool jao to jis waqt yaad aa jaye In'sha'Allah
kehlo, Ya phir Rab ko Yaad karne ka Matlab uski
Tareef aur Badayi aur us se Maafi ki Dua Hain.
03/07/2014
Keep The Ummah In Your Dua
04/05/2014
Theek hI Kahta Tha Mere Muqaddar Ka Sitara.
Tune Muhabbat Ki To Main Gardish Karoonga.
02/04/2014
बूढ़े माँ बाप बच्चो कि तरह होते हैं ,इनका ख्याल रखिये,
इन हांथो को अब आपके दिलासे कि ज़रूरत है.
27/03/2014
Ghalti maan lene se Insaan ka zahini bojh k*m ho jaata hai...!!!