01/08/2026
🍀🌺🍀 ABBAS KA CHELUM HAI ALAMDAR KA CHELUM.....NOUHA CHELUM SHOUDAYE KARBALA 🍀🌺🍀
Abbas ka chelum hai Alamdar ka chelum,
Hai laqte dile Haidere Karrar ka chelum.
Tha fouje Hussaini ke jo parcham ko sambhale,
Shabbir ko Zehra ne kiya jiske hawale,
Laya tha Madine se wafaon ke ujale,
Hai aj osi Sheh ke Alamdar ka chelum.
Abbas ka chelum.......
Bhai se bhi badhkar tha jo Shabbir ko pyara,
Haider ki tamanna thi toh Zehra ka dulara,
Dharas thi Sakina ki toh Zainab ka sahara,
Hota hai jahan me osi jarrar ka chelum.
Abbas ka chelum.......
Kis yaas se kehta tha lahu me woh nahaye,
Lasha mera agha kahin qaime me na jaye,
Sharminda Sakina se hoon bazu ko kataye,
Hai Karbobala me osi khuddar ka matam.
Abbas ka chelum.......
Gar Shaam me hota toh ujala nazar aata,
Bazaar me Zainab ko bhala kon phirata,
Masoom Sakina ko tamachon se bachata,
Hai qafelaye haq ke madadgaar ka chelum.
Abbas ka chelum.......
Abbas jo hote toh yeh sadme na uthati,
Darbaar me sar nange na Zainab kabhi jati,
Zindaan me Sakina ko kabhi mout na aati,
Hum karte hain Shabbir ke ghamqar ka chelum.
Abbas ka chelum.......
Suli pe 'Nawaaz' hum ko chadayein jo sitamgar,
Abbas ka matam na rukega kabhi zinhaar,
Pardes me hoon ya ke watan me hoon ghamqar,
Har haal me karte hain Alamdar ka chelum.
Abbas ka chelum.......