कचेहरी मस्जिद प्रतापगढ़

कचेहरी मस्जिद प्रतापगढ़

Share

A Very Beutiful,Big Mosque In Pratapgarh Haji Sayed Mohammad Quaiyum is President Of Masjid Commetty.

Islam In My Life

ONLY FOR INDIANS
. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . A-मकसद

1-आपसी जानपहचान,आपसी भाईचारा,आपसी गम खुशी एवं इन्फोर्मेशन शेयर करने के लिए

2-एक दूसरे की मदद के लिए

3-मुसलमानों के तालीमी,सियासी,समाजी और दीगर ज़रूरी मसायल पर तबादला ए ख्याल के लिए-जिस से कौम में बेदारी और शऊर पैदा कने में मदद मिले

-

B-पात्रता

1-सिर्फ इण्डिया के ही मेंबर हो सकते हैं

-

C-पोस्ट हटाना -

10/10/2021

मकड़ी का घर!!

“जिन लोगों ने अल्लाह को छोड़कर दूसरे सरपरस्त बना लिये हैं, उनकी मिसाल मकड़ी जैसी है जो अपना एक घर बनाती है और सब घरों से ज़्यादा कमज़ोर घर मकड़ी का घर ही होता है। काश, ये लोग इल्म रखते!"

29:41

24/04/2020

वो नीची नीची निगाहों से देखना ज़माने को
वो तिलावत करना लगा के क़ुरआन सीने से

ख़ुशी यही है कि इक दिन तो मग़फ़िरत से छूट ही जाएंगे
इस महीने में भी तौबा ना कर पाए तो क्या हासिल ऐसे जीने से

रमज़ान मुबारक़....💕

28/05/2019

Assalamu alaikum

Kuch Chizein Jo Hum Namaz Me Roz Padhte Hain Lekin Unka TARJUMA Nai Jante.

* SANA*

Subhanakallahum ma Wabi hamdika Wat-barakasmuka Wat'ala Jadduka Walaailaha Gairuka.

* TARJUMA *

Aye ALLAH !

Mein teri Paaki Bayan
karta hu aur teri taarif krta hu aur tera naam barkatwala he, buland he teri shan, aur nhi he ma'bud tere siva koi.

* RUKU ME *

Subhana Rabbiyal Azim

* TARJUMA*

Paak he mera Rab Azmat wala.

* RUKU SE UTHTE WAQT *

SamiAllahu Liman Hamida.
Rabbana Lakal Hamd.

* TARJUMA *

ALLAH ne uski sunn li jisne uski taarif ki. Aye hamare Rab, tere hi liye tamam taarife he.

* SAJDE ME *

Subhana Rabbiyal A'ala.

* TARJUMA *

Paak he mera Rab Badi Shan wala. Iss tarjume ko aage bheje taaki na jaanne wale ko b Tarjuma Pata chal jaye.

04/11/2017

🍂🌿🍂🌿 ﷽ 🌿🍂🌿🍂
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵​︷︵*
*✧​ Aaj Ki Achchi Baat ✧​*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
*04-11-2017 | 13-2-1439*

❧ Jisne Bhi Kisi ko Akele
Mein Nasihat ki Usne Use
Sawaar Diya,

❧ Aur Jisne Kisi ko Sabke
Saamne Nasihat Ki Usne
Use Mazeed Bigaad diya,

Waalidain ki naafarmaani ke alaawa jis gunnah ki sazaa ko Allah chaahe to qayaamat ke din tak moakhkhar kar deta hai, magar waalidain ki naafarmaani ki saza maut se pehle duniya hi mein chakha deta hai.
(Mustadrak: 7263)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿

07/06/2017

🍂🌿🍂🌿 ﷽ 🌿🍂🌿🍂
*︵︷︵︷︵︷︵︷︵​︷︵*
*✧​ Aaj Ki Achchi Baat ✧​*
*︶︸︶︸︶︸︶︸︶︸︶*

❧ Ay rozedaar! Shukr kar
*Allah* ka, ke tere paas sehri
Aur iftari ka saaman mojud hai

❧ Yaad kar unhe Jin logo ka
Rozaa faake se shuru huva aur
iftaar me sirf paani ke alavaa
kuch bhi mayassar na huva..

🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿

29/05/2017

*KAB AUR KITNE ROZE RAKHE?*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1006⭕

Shabe barat ke kitne roze rakhne hai aur kab?
aur is raat ki ibadat kab aur kon se din karni hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Sha'ban ke mahine me huzoor صل اللہ علیہ وسلم kasrat se roze rakhte the jab puchha gaya to farmaya is raat me wafat ke fesle hote hai jab mera fesla ho to me pasand karta hun ke us waqt me roze se hun.(AL HADEES)
wese har mahine me 13,14,15 ke roze jise ”ayyame beez“kehte Sunnat hai lihaza chaho to is mahine ne me kasrat se roze rakho, ya in tin din me rakh lo ya shabe barat ke dusre din ek roza rakh lo.
india me 11 may jumerat ke din magrib baad se subah sadiq tak puri raat ya aksar raat ya jis qadar himmat ho ibadat karni hai aur jumaa ke din 12 may ko ek roza ralhna bhi kafi hai do roze rakhne ka hukm aashurah ki tarah is mahine me nahi hai.

و اللہ اعلم
📗MADAILE SHABE BARAAT WA SHABE QADR SE MAKHOIZ.

13/01/2017

🍂🌿🍂🌿 ﷽ 🌿🍂🌿🍂
*︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽*
*✧​ Aaj Ki Achchi Baat ✧​*
*︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾*
*❖ 13-01-2017 ❖*

*❧ Jhoote waade se behtar*
*hai, Saaf inkaar kardiya jaye..*

*❧ It is better to straightaway*
*refuse than giving a false promise*

*ﺟﮭﻮﭨﮯ ﻭﻋﺪﮮ ﺳﮯ ﺑﮩﺘﺮ ﮨﮯ،*
*ﺻﺎﻑ ﺍﻧﮑﺎﺭ ﮐﺮﺩﯾﺎ ﺟﺎﺋﮯ -*

🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿

25/08/2016

°•°•°•°•°•°•°•°•°• ﷽ •°•°•°•°•°•°•°•°
*🕌 Mahram ke sath Safar 🕌*
°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°

*📚Hadees:* Hazrat Ibn Abbas RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki unhoney nabee ﷺ se suna ki koi Mard kisi (gair mahram) aurat ke saath tanhaii mein na baithey aur koi aurat us waqt tak safar na karey jab tak uskey saath uska mahram na ho itney mein ek sahabi khadey huye aur farmaya Ya Rasoolullah ﷺ mainey falah jihad mein apna naam likhwa diya hai aur meri Biwi hajj ke liye ja rahi hai to Aap ﷺ ne farmaya tu bhi uskey saath hajj ke liye ja..

- 📗 (Sahih Bukhari, Vol 4, 3006)
❁ ❁ ❁

16/08/2016

🍂🌿🍂🌿 ﷽ 🌿🍂🌿🍂
⚜ *Aaj Ki Achchi Baat* ⚜
°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°
🌟 *[12-08-2016]* 🌟

🌿 Duniya me ye 6 chezo ka
Hamare pas hona zaruri hai,

1.Achi Zuban, 2.Acha Dost,
3.Amant Dari, 4.Khush akhlaqi,
5.Rizqe Halal, 6.Maa ki Dua

🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿

23/02/2016

GIRI PADI CHEEZ MILNA

⭕AAJ KA SAWAL⭕

Raaste me koi cheez mili ya dukan par koi grahak koi cheez bhul gayaa aur woh mili to us ka shareeat me kiya hukm hai?
lekar rakh lena kesa hai ?

🔵JAWAB🔵

Aisi cheez agar raste me mili aur ye dar hai ke ye cheez zaye'a ho jaayegi ya koi le lega aur asal maalik tak nahin pahonchayega to us ko maalik tak pahonchane ki niyyat se uthaa lena aur maalik tak pahonchana wajib hai agar gaalib gumaan hai ke us ka maalik khud talaash karega to woh cheez usee ko mil jayegi ye cheez zaye'a nahin hogi to nahin uthana chahiye na uthane se gunehgar na hoga lekin is surat me bhi agar utha liya to asal maalik tak pahonchana waajib hai khud rakh lena durust nahi

📗DARSI BAHISHTEE ZEWAR SAFA 470 SE MAKHOOZ BA HAWALA

Want your school to be the top-listed School/college in Bela Pratapgarh?

Click here to claim your Sponsored Listing.

Location

Category

Telephone

Website

Address


27 Court Road Near SM Telecom
Bela Pratapgarh
230001