Aaj Ki Achchi Baat

Aaj Ki Achchi Baat ISLAM, isn't just a religion, but a way of life & remember Islam is perfect but Muslims are not perfect. If we make mistakes, Blame it on us not on ISLAM

23/08/2026

⚜🔅⚜

┄─━━━━□□□━━━━─┄
*Bismillahirrahmanirrahim*
┄─━━━━□□□━━━━─┄

*Seerat-un-Nabi ﷺ*
♢━○━●━♢♢♢━○━●━♢

*[ Part - 68 ]*
❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

*❖ Buraai ke badle bhalaai ❖*

✺ Makkah ke kaafir musalmanon ko kaisa sataate the. Dopahar ke waqt tapti huwi ret mein lita dete. Paani mein dupkiyaan dete, maarte peette aur qatl kar dete. Hazrat Khabbaab RaziyAllahu ahnu ko jalte huwe koylon par lita diya, jis se un ki peethh jal g*i aur charbi nikal g*i. Woh gusse mein aaye. Huzoor ﷺ se kaha: “Ya Rasoolallah ! In ke liye bad dua kijiye.” Yeh sunte hi Huzoor ﷺ ka chehra laal ho gaya. Aur kuchh musalmaanon ne bhi bad dua karne ko kaha. Aap ﷺ ne farmaaya: “Main duniya mein rehmat bana kar bheja gaya hoon, zehmat bana kar nahin.’’

✺ Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu ki maan musalmaan nahin hui theen. Woh roz Huzoor ﷺ ko gaaliyaan diya karteen. Yeh gaaliyaan sun kar Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu ko bada dukh hota. Unhon ne aakar Huzoor ﷺ se kaha: “Meri maan ke liye dua kijiye.’’ Aap ﷺ ne un ke liye musalmaan hone ki dua ki. To Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu khush ho gaye, daude daude ghar gaye, maaloom hua ke maan to naha rahi hai. Nahaane ke baad apne aap musalmaan hogaeen. Unhon ne Kalima-e-Shahaadat padh liya.
*Ashhadu allaailaahaa illallaahu wa ashhadu anna muhammadan abduhoo wa rasooluhoo*

*《Next - 69, Soon insha Allah》*

*📗Ref: Deeniyat Course book*
❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

23/08/2026

✯✰✮

✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦
*Bismillahirrahmanirrahim*
✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦

*❖ AHKAAM UL TAHARAT ❖*

*❂ Part - 68 ❂*
✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾
​​​
*·•●✿ HAYEZA KE GHUSAL KE PAANI KO DAM KARNA*

Ba'az ilaaqon Mein Ye Ek Ghair Shara'yi Riwaj Paya Jata Hai Ke Jab Koi Aurat Haiz Ya Nifas Se Paak Ho Kar Ghusal Karna Chahti Hai To Ghar Ke Mard Kisi Buzrug Ya Aalim Se Paani Par Dam Karwa kar Laate Hain Aur Ye Aurat Us Paani Mein Mila Kar Ghusal Karti Hai, Jabke Ghusal Ke Paani Par Kalima Tayyaba Ya Kuch Aur Padh Kar Dam Karna Ya Karwana Shari'yat Se Iska Koi Saboot Nahin Milta. Isliye Ye Amal Na Farz Hai, Na Wajib Hai, Na Sunnat Yaa Mustaheb, Balke Agar Koi Shakhs Isko Zaroori Ya Sawab Khayal Karke Karega To Na'Jayez Aur Bid'at Ho Kar Gunah Hoga.

*📚 Hawala:*
*▪️Al Sahee UL Bukhari Raqm 2697*
*▪️Fatawa Darul Uloom Deoband Raqm 41615*
*▪️Al Masail UL Mahmah 80/8*

*NEXT PART (69) IN'SHA ALLAH*
•─━━━━━════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────═━
🖊️🖊️🖊️

23/08/2026

⚜🔅⚜

┄─━━━━□□□━━━━─┄
*Bismillahirrahmanirrahim*
┄─━━━━□□□━━━━─┄

*Seerat-un-Nabi ﷺ*
♢━○━●━♢♢♢━○━●━♢

*[ Part - 67 ]*
❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

*❖ Buraai ke badle bhalaai ❖*

✺ Ek baar ek baddu aaya, woh masjid mein aakar khade khade peshaab karne laga. Log daude ke use peetein Aap ﷺ ne farmaaya: “Jaane do aur peshaab par paani bahaado aur dekho! Allah ne tumhein narmi ke liye bheja hai, sakhti ke liye nahin.”

✺ Ek baar ek baddu aaya. Us ne aate hi Huzoor ﷺ ki chaadar is zor se kheenchi ke pyaare Rasool ﷺ ki gardan laal hog*i aur badi sakhti se kaha ke Allah ka jo maal aapke paas hai, us mein se mujhe bhi do, Aap ﷺ ne us ki taraf mud kar dekha aur muskura kar farmaaya: ise kuchh dedo.

✺ Ek baar Makkah waalon ne Aap ﷺ ka boycott kar diya. Na kuchh khaane ko dete aur na kuchh aur zaroorat ki cheezein Aap ﷺ ke paas jaane dete. Huzoor ﷺ ke saath bachche, aurtein aur boodhe bhook ke maare tadapte. 3 baras tak isi tarah boycott raha. Jab Aap ﷺ Madeenah aaye to Yamaama ke raees Sumaama musalmaan hogaye. Unhon ne ek baar qasm khaali ke pyaare Rasool ﷺ ki ijaazat ke bag*ir Makkah waalon ko ek daana bhi na diya jaayega. Makkah mein galla waheen se aata tha. Ab to Makkah mein qahat pad gaya. Makkah waalon ne ghabra kar Huzoor ﷺ se kaha, Huzoor ﷺ ko taras aagaya aur kehla bheja ke Sumaama! Galla bhej do.

*《Next - 68, Soon insha Allah》*

*📗Ref: Deeniyat Course book*
❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

23/08/2026

✯✰✮

✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦
*Bismillahirrahmanirrahim*
✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦

*❖ AHKAAM UL TAHARAT ❖*

*❂ Part - 67 ❂*
✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾
​​​
*·•●✿ EK BAALISHT SE KAM MISWAK KA ISTE'MAAL*

Ba'az Log Ye Samajhte Hain Ke Ek Baalisht Se Agar Miswak kam Ho To Usse Miswak Nahin Kar Sakte Aur Uska Sawab Nahin Milta, Jabke Shar'an Ek Baalisht Se Kam Miswak Bhi Kar Sakte Hain, Aur Iska Sawab Bhi Milta Hai, Ek Baalisht Ye Miswak Ki Zyadah Se Zyadah Miqdaar Hai, Lehaza Ibteda' Mein Ek Baalisht Hona Behtar Hai, Ba'ad Mein Kam Hojaye, Tab Bhi Koi Harj Nahin Hai, Aur Jab Tak Qabil E Iste'maal Kar Sakte Hain.

*📚 Hawala:*
*▪️Raddul Mukhtar Matlab Fee Dalalatul Mafhoom 210/1*
*▪️Al Nahrul Fayeq 41/1*
*▪️Al Masail UL Mahmah 78/8*
*▪️Fatawa Mahmoodiya 118/8*
*▪️Fatawa Darul Uloom Deoband Raqm 12283*

*NEXT PART (68) IN'SHA ALLAH*
•─━━━━━════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────═━
🖊️🖊️🖊️

23/08/2026

Ek shakhs ki tabdeeli ummat ki tabdeeli

23/08/2026

Kamiyabi ka mayaar aur momin ka kirdaar

23/08/2026

Address

Amroha

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Aaj Ki Achchi Baat posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The School

Send a message to Aaj Ki Achchi Baat:

Shortcuts

Share

Category