11/02/2026
Ashab-e-Ukhdood ka waqia kya tha? Allah ne unhe kaise tabah kiya?
Bani Israel ki ek zalim qaum ne mo’min mardon, auraton aur bachon ko zinda aag ke khaddo mein jala diya. Surah Burooj mein Allah ne Ashab e Ukhdood ka ye dardnaak waqia hamesha ke liye likh diya.
Allah ne in zalimon ko kaise pakra? In mo’minon ka anjaam kya hua? Is video mein Ashab e Ukhdood ki poori kahani – zulm, sabr, imaan aur Allah ke khaufnaak azaab ka aisa manzar jo aapka dil hila dega.
Ye sirf Waqiya nahi, har musalmaan ke liye ek sakht warning aur imaan ko jagane wali ibrat hai. Jo log “deen par qayam rehna” chahte hain, un ke liye Ashab e Ukhdood ka waqia ek aaina hai.
Agar aapko, islamic stories, quran stories in urdu, allah ka azaab aur dardnaak quranic waqia pasand hain, to ye video aap ke liye hai. Imaan ko hila dene wala waqiya akhir tak zaroor dekhiye.
00:00​ - Ashab e Ukhdood ka Khofnaak Manzar (Intro)
01:15​ - Zalim Badshah aur Jadugar
03:15​ - Allah ka Banda, Raahib aur Nojawan Larka
03:38​ - Larka Do Dunyaon Mein: Jaadugar ke Paas bhi, Raahib ke Paas bhi
05:07​ - Pathar ka Mojza: Darinda Girta Hai, Imaan Zinda Hota Hai
08:07​ - Badshah ke Samne Larka: “Mera Rabb Allah Hai”
09:20​ - Qatl ki Koshish 1: Pahadon se Giraane ka Naakaam Plan
10:10​ - Qatl ki Koshish 2: Samundar Mein Doobone ka Naakaam Plan
10:30​ - Teer par Likha Naam: “Bismillah Rabbil Ghulam”
11:00​ - Qaum ka Jagna: “Aamanna bi Rabbil Ghulam” ki Goonj
11:30​ - Aag ki Khaaiyan: Ashab e Ukhdood Ko Zinda Jala Diya Gaya
12:30​ - Azaab e Ilahi ka Faisla aur Aaj ke Musalman ke Liye Sabak
Islamic References Used:
• Qur’an: Surah Al-Burooj (85:4–10) – Ashab-e-Ukhdood
• Sahih Hadith: Sahih Muslim (Hadith 3005) – Story of the boy, monk, magician & king
• Tafseer: Tafseer Ibn-e-Kaseer on Surah Al-Burooj
​ ​ ​ ​ ​ ​ ​