30/07/2021
Hazrat Abu Ubaida, Aamir bin Jarrah radiy-Allāhu ta’ala anhu :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :
http://fikreummat.net/
****************
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Ameen-ul-Ummat.
*************
Aap ki wilaadat 583 A.D. me Makka me hui.
*************
Aap ke waalid ka naam Abdullāh ibn Jarrah aur waalida ka naam Hazrate Umaima binte Ghanam hai.
Aap Quraish ke Banu Haariṡ ibn Fihr khaandaan se hain.
*************
Aap as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.
610 A.D. me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke ailaane nabuwwat ke baad Aap ne dusre hi din Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki daawat se Islaam apnaaya.
Musalman hone ke baad Quraish Aap ko beshumaar takleef di. Aap ne har takleef aur sakhti bardaasht kar li magar Islaam na chhoda.
5 Nabawi (615 A.D.) me aap ne Habasha (Abyssinia) ki taraf hijrat ki. Muhaajireen ke is giroh (qaafile) me 87 mard aur 17 aurten thi.
Kuchh arse baad Makka waapas aaye to Quraish ne phir se un ko takleef dena shuru kiya.
*************
1 Hijri (622 A.D.) me Aap ne Madeena hijrat ki.
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Muaz bin Jabal radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Aap ka bhaai banaaya.
*************
Aap Ashra e mubashshira me shaamil hain.
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai ki
“Har Ummat me ek Ameen (Trustee /Custodian) hota hai aur is ummat ke Ameen Abu Ubaida bin Jarrah hai.”
*************
Aap ne Kuffaar ke khilaaf tamaam jung me shirkat ki sa’adat haasil ki.
Aap ka shumaar Jungi umoor ke maahireen me hota hai. Aap ki tadaabir maidaane jung ka naqsha badal diya karti thi.
Aap ki qiyaadat me musalmano ne us waqt ki sab se badi taaqat Room se takkar li aur kaamyaabi haasil ki.
Ramazaan 1 Hijri (November 622 A.D.) me Aap Sarya e Hamza me shareek hue jis me Hazrat Hamza ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu 30 ashaaba ke saath Quraish ke qaafle ke saath jung ke liye gaye the lekin jung nahi hui thi.
Junge Badr me Aap ke Kaafir baap ne jab Aap par hamla kiya to Aap ne us ka muqaabala kiya aur us ka sar qalam kar diya.
Junge Uhad me Abdullāh ibne Qamiya ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam par talwaar se waar kiya to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke rukhsaar mubarak khaud (helmet) ki kadiyan paivast hone se zakhmi ho gaye. Aap un ke paas pahunche aur foran un kadiyo ko apne daanto se nikaalne lage. Un kadiyo ko nikaalne me aap ke agle 2 daant toot gaye.
Aap ‘Bai'at-ur-Ridwaan’ me bhi shareek hue.
Jamaadi-uṡ-ṡaani 8 Hijri (September 629 A.D.) me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Amr bin Aas radiy-Allāhu ta’ala anhu ko 300 musalman ke saath Banu Qudah ke khilaaf jung ke liye bheja. Waha pahunchkar jab unhe pata chala ke dushmano ki ta’adaad bahot zyada hai to unho ne Madeena Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko madad ke liye paighaam bheja. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Abu Ubaida, Aamir bin Jarrah radiy-Allāhu ta’ala anhu ki sardaari me 200 musalmano ko rawaana kiya jin me Hazraye Abu Bakr Siddeeq aur Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhuma bhi shaamil the. Yeh jung ‘Junge Zaat-ul-Salaasil’ ke naam se mash'hoor hai.
Rajab 8 Hijri (October 629 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko 300 musalmano ke saath Banu Juhaynah par hamla karne ke liye Khabat bheja. Magar kaafiro ko is ki khabar mil g*i aur waha se bhaag gaye.
Fatah Makka ke mauqe par raat ko Makka se 10 mile door Mar-uz-Zahran maqaam par musalmano ke lashkar ne wuqoof karne ke baad 20 Ramazan 8 Hijri (11 January 630 A.D.) ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne lashkar ke 4 giroh banaakar Makka ki taraf k***h ki.
Pehle giroh ne Hazrat Abu Ubaidah, Aamir ibn Jarrah radiy-Allāhu ta’ala anhu ki sardaari me Azakhir ki jaanib se k***h ki, jis me Aap sallallāhu alaihi wa sallam bhi shaamil the. Yeh giroh baghair koi muqaabale ke aage badha aur Makka me daakhil hua.
*************
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke wisaal e zaahiri ke baad Khalifa muqarrar karne ke liye log jama hue tab Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu Hazrat Abu Bakr Siddeeq aur Hazrat Abu Ubaida ibn Jarrah radiy-Allāhu ta’ala anhuma ke saath waha pahunche. Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ne logo se farmaaya ke “Ye do afraad mere pasandeeda hain. In dono me se jis se chaahe Bai'at kar lo.” To Hazrate Umar Faarooq ne Hazrat Abu Bakr Siddeeq ki ta’areef karke un se bai'at ki to Aap ne bhi foran Hazrat Abu Bakr Siddeeq se bai'at ki.
*************
Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Aap Hazrat Khaalid bin Waleed ke saath Junge Bosra, Junge Ajnadayn, Junge Yakusa, Junge Maraaj-ul-Safar, aur Junge Sanita-ul-Uqab me shareek hue.
Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Junge Fahl, Junge Maraaj-al-Room, Junge Damishq, Junge Emesa, Junge Yarmouk, Junge Jerusalem, Junge Hazir, Junge Antioch, Junge Qaadisiyyah, aur Junge Jazeera me shareek hue.
*************
Ek martaba Aap ne Islaami lashkar ke saath Maqaame Shaijar par qayaam kiya. Rozaana kuchh musalman jungle jaakar lakdiya jama kake laate aur unko jalaakar khaana pakaate. Ek din jab wo gaye to waapas na aaye. Pata chala ki Jabla bin Aeham ki fauj ne unhe pakadkar qaid kar liya hai.
Hazrate Khaalid bin Waleed radiy-Allāhu anhu 10 ashaaba ko saath lekar musalman qaidiyo ko chhudaane ke liye gaye. Raaste me hi the ke unka muqaabala taqreeban 10,000 kuffaar ke ek lashkar se hua. Wo 10 ashaaba aisi bahaaduri se lade ki kuffaar ka lashkar bokhla gaya. Bil aakhir Musalman ladte ladte thakaan se behaal ho gaye aur kuffaar ba-zaahir un par galba paane lage.
Aap apne khaime me aaraam farma rahe the ki achaanak uth khade hue aur lashkar ko jung ke liye fauran tayyaar hone ka hukm diya. Logo ne Aap ki khidmat me arz ki “Huzoor! Kya baat hai? Aap ne achaanak hi jung ki tayyaari ka hukm de diya hai?” Aap ne farmaaya “Abhi abhi maine khwaab me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam tashreef laaye aur mujh se irshaad farmaya :- Aye Ibne Jarrah! Utho aur Khaalid bin Waleed ki madad ke liye pahuncho, unhe kuffaar ne gher liya hai.”
Yeh sunkar pure lashkar ne foran tayyaari shuru kar di aur Hazrat Khaalid bin Waleed ke paas pahunche. Islaami lashkar ko dekhkar kuffaar bhaag khade hue. Lekin musalmano ne unka ta’aaqub jaari rakha aur is zor se hamla kiya ki un ke qadam ukhad gaye aur unhe ibrat naak shikast ka saamna karna pada aur tamaam musalman qaidiyo ko bhi chhuda liya gaya.
*************
Qasreen shaher (Misr) fatah hone ke baad Aap ki ta’aleem wa Husne sulook ko dekhkar waha ke nasraani [Christian] qabeele Banu Tanookh aur Banu Saleej ke logo ne Islaam apanaaya.
*************
Phir Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Aap ko Shaam ka governor banaaya taake mulk ki hifaazat ho.
Ek martaba Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu Madeena munawwara se Mulke Shaam tashreef laaye. Aap se mulaaqaat ke duraan Hazrate Umar Faarooq ne farmaaya ke “Main apne bhai ka ghar dekhna chaahta hu.” Aap ne farmaaya “Huzoor! Aap waha na aayen yehi behtar hoga.” Hazrate Umar Faarooq ne jab israar kiya to Aap un ko saath lekar apne ghar par le gaye. Shahere Damishq ki aabaadi khatm hone ke baad aakhir me khajoorke patto se bani hui ek jhonpadi nazar aai jis ke andar sirf ek musalla tha aur ek talwaar aur dhaal thi. Hazrate Umar Faarooq ne puchha ke “Is me koi saamaan nahi hai. Tum is me kaise rehte ho?” Aap ne jawaab diya “Alhamdulillāh. Is me meri zaroorat ka saara saamaan hai. Is musalle par ibaadat kar leta hu aur raat ko so bhi jaata hu.” Phir haath uthakar chappar me se ek piyaala nikaala jis me paani bhara hua tha aur sukhi roti ke tukde bhige hue the. Aap ne farmaaya “Ameer-ul-mo’mineen! Main saara din hukoomat ke kaam anjaam dene me mujhe fursat nahi milti. Ek khaatoon mere liye rotiya paka deti hai. Main use khaa leta hu aur jab wo sukh jaaye to paani me bhigokar khaa leta hu.” Yeh sunkar Hazrate Umar Faarooq ki aankho me aansoo aa gaye. Aap ne farmaaya “Maine pehle hi kaha tha ke Aap yaha na aayen yehi behtar hoga.”
*************
Hazrate Umar Faarooq ke zamaane me Arab me qahet saali hui to unho ne tamaam governor ko khat likhkar Madeena munawwara me anaaj bhejkar madad karne ke liye guzarish ki. Aap ne foran anaaj se lade hue 4000 oonto Madeena munawwara rawaana kiye. Hazrate Umar Faarooq ne Aap ko Madeena munawwara aur qareeb me rehne waale logo me is anaaj ko taqseem karne ki zimmedaari sonpi. Aur Aap ko 4000 deenaar batore hadiya diye. Aap ne narmi wa adab ke saath use lene se inkaar kar diya.
*************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ka nikaah Hind binte Jaabir se hua.
Aap ke 2 saahabzaade hain :
Yazeed aur Umair.
*************
18 Hijri me mulke Shaam me taaoon (plague) ki beemaari is qadar phaili ke beshumaar log is ki wajah se marne lage. Ameer-ul-mo’mineen Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ko is ki khabar mili to unho ne foran Hazrat Abu Ubaida, Aamir bin Jarrah radiy-Allāhu ta’ala anhu khat likhkar paighaam bheja ke “Aap foran Madeena munawwara aa jaao. Yaha aap ka bahot zaroori kaam hai.” Jab Aap ne khat padha to jaan gaye ke ‘Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu meri jaan bachaana chaahte hain.’ Aap ne jawaaban khat likha ke “Main jaanta hu ke Ameer-ul-mo’mineen ko mera kya kaam hai. Magar jab musalman shadeed takleef me ho to aise haalaat me main unhe chhodkar Madeena munawwara nahi aa sakta. Jaisi ALLĀH ta’ala ki marzi hogi waisa hi hoga. Ummeed hai ke aap meri is na-farmaani ko muaf kar denge.”
Jab Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Aap ka khat padha to un ki aankho me aansoo aa gaye. Yeh dekhkar ashaaba ne puchha ke “Kya Hazrat Abu Ubaida ka intiqaal ho gaya hai?” Hazrate Umar Faarooq ne farmaaya “Nahi, Magar woh aise haalaat me hai ke kabhi bhi dunya se rukhsat sakte hain.”
*************
Apne wisaal ke kuchh waqt pehle Aap ne logo se irshaad farmaaya ke “Meri chand naseehaten yaad rakhna taake tum hamesha amn o sukoon paao. Paabandi ke saath Namaaz, Roza, Sadqa-Zakaat, Qurbaani, Hajj-Umrah ada karte rehna, ek dusre ko neki ki da’awat dena, Ameer-ul-mo’mineen ke wafadaar rehna, kabhi bhi un ke khilaaf koi kaam na karna, apna farz sahi tareeqe se ada karte rehna aur dunya ki khwaahishaat me mat kho jaana.”
Phir farmaaya “Agar insaan hazaar baras bhi dunya me zinda reh le lekin aakhirkaar ise chhodkar jaana hi hai. ALLĀH tum sab par beshumaar rahmaten naazil farmae aur tumhari hifaazat farmae.”
Phir Hazrat Muaz bin Jabal radiy-Allāhu ta’ala anhu se farmaaya ke “Jab mera inteqaal ho jaaye to aap meri namaaze janaaza padhaana.”
*************
Aap Bait-ul-Muqaddas me namaaz padhne ke liye jaa rahe the ki raaste me hi inteqaal ho gaya aur Taaoon ke sabab Shahaadat ka martaba paaya.
Aap ka wisaal 19 Zil Hijja 18 Hijri (December 639 A.D.) ko 58 saal ki umr me hua.
Hazrat Muaz bin Jabal radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Aap ki namaaz e janaaza padhaai.
Hazrat Muaz bin Jabal, Hazrat Amr bin Aas aur Hazrat Jahhaak bin Qais radiy-Allāhu ta’ala anhuma ne Aap ko qabr me utaara.
Aap ka mazaar Gaur Baisaan [Jordan Valley] (Jordan) me hai.
****************
Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :
http://fikreummat.net/
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Abu Ubaida, Aamir bin Jarrah radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Ashaaba aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.