06/08/2026
Agar Nabi ﷺ ka naam sunte hi aap ki zuban par darood aa jaye... to ye mohabbat ki nishani hai.
Har dafa jab Muhammad ﷺ ka mubarak naam aaye, foran darood-e-pak parhna apni aadat bana lein.
✨️Rasulullah ﷺ ne farmaya:
"Bakheel woh hai jiske saamne mera zikr kiya jaye aur woh mujh par darood na bheje."
(Jami' at-Tirmidhi: 3546 – Sahih)
Allah humein Nabi ﷺ par kasrat se darood bhejne ki taufeeq ata farmaye. Ameen. 🤲
💬 Comment karein: ﷺ aur likhein "Allahumma salli 'ala Muhammad."