26/08/2026
Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
Allah Ta'ala jab kisi bande se mohabbat karta hai to Jibreel A.S. ko bulata hai aur farmata hai:
"Main falan bande se mohabbat karta hoon, tum bhi us se mohabbat karo."
Phir Jibreel A.S. bhi us se mohabbat karte hain aur aasman walon mein us bande ki mohabbat ka elan karte hain.
📖 Hawala: Sahih Bukhari, Hadees 3209 | Sahih Muslim, Hadees 2637
Allah Ta'ala humein apni mohabbat hasil karne wala banaye. Ameen 🤲