Fiftanray Educational & Research Agency - FERA

Fiftanray Educational & Research Agency - FERA

Share

Is Page Me Hazrat Uvais Qarni Radi Allahu Ta'ala Anhu Ke Bare Me Bayan Kiya Jayega . jo Ki " SWANEH HAZRAT AVAISH KARNI RAHMUTULLAH ALEH"" Kitab Ke Hawale

19/06/2016

*"ना दौलत काम आयेंगी . . . . . . . . . . .*
*ना शौहरत काम आयेंगी"।।*

*"क़यामत में आका की . . . . . . . . . . .*
*शफ़ाअत काम आयेंगी"।।*

*"सजालो अपने चेहरों पर . . . . . . . . . .*
*रसूले -पाक की सुन्नत"।।*

*"अँधेरी कब्र में आका की . . . . . . . . . .*
*मोहब्बत काम आयेंगी"।।*

Photos 19/05/2014

Mujhe Chashme Rizwan udhar dhundti hai, Madine ko meri nazar dhundti hai..
meri ruh paunchegi Taiba ko fauran,, ye jibrail k balon par dhundti hai.
(Huzoor Ameen E Shariyat)

Marhaba Aamad e Huzoor Ameen E Shariyat
@ Madina Shareef on 24 May 2014

In sha Allah Huzoor Ameen e shariyat will be in Madina Shareef on 24 May 2014

Mujhe Chashme Rizwan udhar dhundti hai, Madine ko meri nazar dhundti hai..
meri ruh paunchegi Taiba ko fauran,, ye jibrail k balon par dhundti hai.
(Huzoor Ameen E Shariyat)

Marhaba Aamad e Huzoor Ameen E Shariyat
@ Madina Shareef on 24 May 2014

In sha Allah Huzoor Ameen e shariyat will be in Madina Shareef on 24 May 2014

Photos 18/05/2014

Nabeera-E-Aala Hazrat Wa Ustaad-E-Zaman,
Mazhar-E-M***i-E-Aazam-E-Aalam,
Huzoor Sadr-Ul-Ulamaa,
Hazrat Allama M***i
MUHAMMAD Tahseen RAZA KHAN RadiaAllahu anhu ke Urs E Tahseeni par Mazar shareef ka roohani manzar

Tamaam Aalam e Islam ko Urs e Tahseeni Mubarak
Maslak e Aala Hazrat Zindabaad

Photos 11/04/2014

السلام عليكم ورحمة الله وبركاته

Jummah Mubarak to all Sunni Bareilvis

Maslak e Aala Hazrat Zindabaad
Huzoor Amin E Shariyat Zindabaad
Huzoor Tajushariyah Zindabaad

Duwaon ka Talib
Ghulam E Sibtain Raza
MOhammed Khwaja Shamsuddin Razavi Sibtaini

Photos 06/04/2014

Amin E Shariyat Ho Tum

Tumhe Dekhne Se Khuda Yaad Aye
Tumhe Paake Dil Saare Gham Bhool Jaye

Saarapa Wilayat ho tum
Amin E Shariyat Ho Tum

Naberaye Aala Hazrat Huzor Amin E Shariyat Salaamat Rahe Aameen

Maslak e Aala Hazrat Zindabaad
Duwaon ka Talib
Ghulam E Sibtain Raza Shamsuddin

Photos 21/03/2014

*** Farishto Ka Behosh Hona ....

Hazrat Shaikh Sharfuddeen Maneri (Rahmutullah Ta'ala Aleh) Apne Maktubat Me Tahreer Farmate He Ki Ek Martaba Hazrat Uvais Qarni Radi Allahu Ta'ala Anhu Ke Seena-E-Mubarak Se Ek Esi Lateef Hawa Chali Ki Farishte Behosh ho Gaye Hosh Me Aane Ke Bad Hazrat Zibrail Alehi Salam se Puchne Lage Ki Hum Ko 7 Lakh Baras Ka Jamana Ho Gaya Magar Aaj Tak Is Kism Ki Khushbu Nahi Aai thi . Jo Ab Ahde Khatemulmursaleen Noor Salallahu Ta'ala Aleh Wa Sallam Me Aati he . Hazrat Jibrail Alehi Salam Ne Huzoor Salallahu Ta'ala Aleh Se Se daryaft kiya To Sarkare Do Aalam Noore Mujassam Salallahu Ta'ala Aleh Wa Sallam ne Farmaya :

" Yeh Naseeme Rahmat Yaman Ke Maste Alsat Shutarban Hazrat Uvais Qarni (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Ke Seena Kee He "

Refrence : Swaneh Hazrat Uvais Qarni (RADI ALLAHU TA'ALA ANHU)

Safa No.: 31

** Talib-e-Dua **

(Hamare Sabhi Bhai Aur Bahan)

Admin : Mohammed Zafer Goushvee Uvaisy (Ek Gunahgar)
(Gulame Gaushe Azam)

Photos 03/03/2014

*** Shabe Meraz Per Kharrate Ki Aawaz ....

Hazrat Imam Yafyi Radi Allahu Ta'ala Anhu Se Mankul He Jab Shabe Meraj me Hazrat Uvais Qarni Radi Allahu Ta'ala Anhu Ke Kharrate Ki Aawaj Sunker Madni Tajdar Salallahu Ta'ala Aleh Wa Sallam Ne Daryaft Farmaya Ki Yeh Kis Ki Aawaj He ? To Gaib Se Jawab Mila Ki Yeh Uvais Qarni (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Kee Aawaj He Aur Me ne Chand Farishto Ko Uski Aawaj Per Muta'ayyan Kar Diya He , Kyunki Yeh Aawaj Mujhko Bahut Pasand He .

Hazrat Moulana Jami Radi Allahu Ta'ala Anhu Se Mankul He Ki Jab Sarkare Do Aalam Salallahu Ta'ala Aleh Wa Sallam Falkul Aflak Per Pahuche To Mulahiza Farmaya Ki Kisi Ki Jishmani Rooh Ka Qalab Rabbni Faiz wa Barkat Ki Chadar Ode Takht Murassana wa Noorani Per Bade Itmenan wa Faragat Ke sath Be Niyazi Ke Andaz Se Paw Felaye Hue Pada He . Aap Salallahu Ta'ala Aleh Wa Sallam Ke Istfsar Per Hazrat Jibrail Alehi Salam Ne Arz Kiya Ki Yeh Shan Aur Jurrat Hazrat Uvais Qarni Radi Allahu Ta'ala Anhu Ke Kalab Kee He . Jisne Aap Salallahu Ta'ala Aleh Wa Sallam ke Ishq Me dam Mara he Aur Darde Furkat Me Kadam Uthaya He .

- Tafrihul Khateer

Refrence : Swaneh Hazrat Uvais Qarni (RADI ALLAHU TA'ALA ANHU)

Safa No.: 30

** Talib-e-Dua **

(Hamare Sabhi Bhai Aur Bahan)

Admin : Mohammed Zafer Goushvee Uvaisy (Ek Gunahgar)
(Gulame Gaushe Azam)

Photos 03/03/2014

** Hazrat Uvais Qarni (RADI ALLAHU TA'ALA ANHU) ke Humshakl 70,000 Farishte ......

Sardarul Tabain Hazrat Uvais Qarni Radi Allahu Ta'ala Anhu Ne Shutarbani Ke Hulya me Jindagi Basar Farmai aur Hamare Nabi sarkare Kaynaat Salallahu Ta'ala Aleh Wa Sallam Ke Alawa kisi Ne BHi Aap (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Sardarul Tabain Ko Na Pahchana aur aapki Shan Wa Rutba Se Wakif rahe . Usi Tarah Baroje Kayamat 70,000 Farishte Aap (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Sardarul Tabain Ke Humshakl Paida Kiye Jayenge Taki Waha Aap (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Sardarul Tabain Ko Koi Pahchan Na Sake aur Usi Farishto Ke Jhurmut Me Jannat Me Dakhil Honge .

Refrence : Swaneh Hazrat Uvais Qarni (RADI ALLAHU TA'ALA ANHU)

Safa No.: 29 ,30

** Talib-e-Dua **

(Hamare Sabhi Bhai Aur Bahan)

Admin : Mohammed Zafer Goushvee Uvaisy (Ek Gunahgar)
(Gulame Gaushe Azam)

10/02/2014

ASSALAMU ALEKUM .....

PYARE PAGE LIKERS ...MUJHE MAAF KARNA ME BUSY HO GAYA THA IS WAJAH SE SAFA DALNA CHOD DIYA THA ...INSHA ALLAH AB AAGE KE SAFA POST KARNE KI KOSHISH KARUNGA ....

DUA KA TALIB

Photos 24/12/2013

** Hazrat Uvais Qarni (RADI ALLAHU TA'ALA ANHU) ka chupa

(Mustajabud Dawat) hona ....

Hazrat Mulla Ali Qari Rahmutullah Ta'ala Aleh " SHARAH

MISHQAT " me Tahreer Farmate he Ki Hazrat Uvais Qarni

(RADI ALLAHU TA'ALA ANHU) ke Poshida Rahne Ki Ek Badi

Wajah ye Bhi thi ki aap Mustajabud Dawat the . Ager Logo

me ye Baat Jaheer Ho jati to har Nek wa bad Mastoor

Wag*irah Aap (RADI ALLAHU TA'ALA ANHU) ke Pass aata aur

Aap (RADI ALLAHU TA'ALA ANHU) ko Tang Karta is Tarah Aap

(RADI ALLAHU TA'ALA ANHU) ke Mamulat me Khalal Peda hota

aur esa bhi Mumkin na Tha Ki Logo Ko Shane Uvaish Qarni

(RADI ALLAHU TA'ALA ANHU) Malum Hone Ke Bad Roka Ja Sakta

He .

Aap (RADI ALLAHU TA'ALA ANHU) ke Mustajabud Dawat hone ke

liye yahi daleel kafi he ki Huzoor Sarkare Kaynat

Salallahu Ta'ala Aleh Wa Sallam Ne Hazrat Umer Farukhe

Azam aur Hazrat Ali Karmallahu Wajhu (RADI ALLAHU TA'ALA

ANHU) ko Talbe dua Ke Liye jane Ki Wasiyat Farmai . Ye bhi

Qabile Gor Baat He ki Ager Sarkar Salallahu Ta'ala Aleh Wa

Sallam Ye na Batate ki Hazrat Uvais Qarni (RADI ALLAHU

TA'ALA ANHU) Mulke Yaman Ke Qaran Nami Ganv Me Murad Nami

Qabila Se Ta'alluq Rakhte he to Unhe Koi Bhi Nahi Janta .

Refrence : Swaneh Hazrat Uvais Qarni (RADI ALLAHU TA'ALA

ANHU)

** Safa No.: 29 **

** - Talib-e-Dua - **

(Hamare Sabhi Bhai Aur Bahan)

Admin : Mohammed Zafer Goushvee Uvaisy (Ek Gunahgar)

My Id Link :https://www.facebook.com/jafer.khan3

Photos 28/08/2013

*** Ohdaye Qutbeeyat Mane'a Tha ***

*** Qutbu Wa Abdal Bhi Hona ***


(safa no.27 ,28)


Hazrat Imam Yafyee Rahmutullah Ta'ala Aleh Ne Tahreer Farmaya he Ki Allah Ta'ala Qutub Wa Goush Ke Ahval Ko Apni Gairat Ke Sabab Awam Aur Khwas Dono Se Poshida Rakhta He . Is Qoul Ko Is Hadeeshe Mubarka Se Istidalal Kiya Ja Sakta He Ki Sarkare Madina Salallahu Ta'ala aleh Wa Sallam Ne Farmaya :

" AVLIYAEE TAHAT-QABAI LA YA"AREFO HUM-GAIRY "

Tarjuma: Mere Dost Meri Qaba Ke Niche He Unko Mere Alawa Koi Nahi Pahchan Sakta .

Hazrat Mulla Ali Qari Rahmutullah Ta'ala Aleh " Risala Ma'adanul Adni " Me Tahreer Farmata he Ki Khyal Yeh He Ki Huzoor Salallalhu Ta'ala Aleh Wa Sallam Ke Zamanaye Mubarak Me Hazrat Uvais Qarni Radi Allahu Ta'ala Anhu Hi Qutoob Wa Abdal The Kyunki Aap Radi Allahu Ta'ala Anhu Hi Masturulhaal rahte The .

" Hedaytul Aama " Me Bhi Yehi Likha He Ki Ahde Nabvi Salallahu Ta'ala Aleh Wa Sallam Me Hazrat KHawaza Uvais Qarni Radi Allahu Ta'ala Anhu Martabah Qutbuyiat Rakhte The .



** Galabaye Iastgraq Mane'a Tha **

Hazrat Data Ganj Baksh Ali Hijveri Rahmutullah Ta'ala Aleh Ne Apni Tasneef " Kashfulmahjoob " Me Aur Hazrat Shaikh Fariduddeen Attar Rahmutullah Ta'ala aleh Ne Apni Tasneef " Tazkiratul Aouliya " me Darj Farmaya He ki Hazrat Uvais Qarni Radi Allahu Ta'ala Anhu Ne jo Rasoll Salallahu Ta'ala Aleh Wa Sallam Ki Ziyarat na Ki Uske Do Sabab the .

1. Galbaye Haq
2. Walida Ki Khidmat Gujaree (jo ki Zaifa Aur Nabina thi)

Hazrat Aboo Bakr Bin Ishaq Muhammad Bin Ibrahim Bin Yaqub Bukhari Kalabadi Rahmutullah Ta'ala Aleh Kitabe " Tagrrfulmajrubi Tatasavvur Lemzahbit Tasawwuf " me Tahreer Farmate He ki Jab Kisi Ki Martabaye fana Hasil Ho Jata He To Wah khudi Ko Bhul Jata he aur Log Usko Diwana aur Behkabar samjhne Lagte he . Is liye Ki Tan poshi aur Hazze Nafs hasil karne ka Madda usme Zayal Ho Jata He . Na Makhluq Uski Muhabbat Ki Ravadar rahti He Na Uski unse Rahat Milti He Chunki Apni Sari Aqal Ko Mutlak Yade Haq me Mutavajjah rakhta He . Is Liye KHalaq Ki Sohbat aur Nafsh ki Mukhalifat ki Usko Kataee parvah nahi rahti , Ummate Muhammadi Salallahu Ta'ala aleh Wa Sallam Me us Qism Ke Majazeeb aur Divane Bahut Hue He .


** Surte Zahiree Ka Qasad Na Tha **


Hazrat Enool Qojat Rahmutullah Ta'ala Aleh " Latayfe Nafeesha " Me Tahrere Farmate He Ki Chunki Hazrat Uvais Qarni Radi Allahu Ta'ala Anhu ne Huzoor Salallahu Ta'ala Aleh Wa Sallam ki Haqiqat Ko Dekh liya Tha isliye Aap Ne Salallahu Ta'ala aleh Wa Sallam ki Surte Zahiree Ko Dehkne ka Qasad Na Kiya Kyunki Surte Waqyee Ke Dekhne Se Matlab Pura Ho Jata He To Surte Zahiree Apne Aap hi Hejab Hogi .
(Hazrat Uvais Qarni Radi Allahu Ta'ala Anhu Surte Waqyee Ko Dekhkar Bus Usi Me Mutgaraq rahe Isliye Surte Zahiree ki Taraf KHas Tavajjoh hi Na g*i.)


** Talib E Dua **
Mere Sabhi Bhai Aur bahan

Want your school to be the top-listed School/college in Kota?

Click here to claim your Sponsored Listing.

Location

Website

Address

Kota
326519