31/12/2025
*السلام علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ*
📢📢📢📢📢📢
✨ *Ahle Mohalla wa Ahle Imaan ke liye Aham Elaan* ✨
*Har saal ki tarah is saal bhi, 🕌 Jama Masjid Barhi ke janib se Alhamdulillah*
📅 01 January (Thursday)
⏰ Subah 10:00 baje
Salana Sunnaton Bhara IJTIMA ka ehtimam kiya ja raha hai.
📌 Ijtima ke Aham Programat:
▪️ Mayyat ke ghusl ka mukammal tariqa
▪️ Sunnat ke mutabiq, amal ke sath samjhaya jayega
▪️ Islahi wa tarbiyati bayan
▪️ Imaan, amal aur aakhirat par guftagu
▪️ Naat-e-Paak
▪️ Sawal o jawab
▪️ Deeni masail ka Qur’an o Sunnat ki roshni me hal
📍 Maqam: Jama Masjid Barhi
Tamam bhaiyon se guzarish hai ke har saal ki tarah is saal bhi zyada se zyada tadaad me shirkat farma kar is sunnaton bhare ijtima ko kamyab banayein aur sawab-e-darain hasil karein.
🤲 Allah Ta’ala is ijtima ko qubool farmaye aur hamein sunnaton par chalne ki taufeeq ata farmaye. Aameen.