Assam Engineering College Music Video (2010-2011) Aur…..bus wohi toh tha apna jeena!
"Shukriya" Lyrics :
Maan me aashayein liye, aaya main yaar
Aankhon mein khwaab liye, tha bekaraar
Dhadkan ko thaam ke mein, chalta gaya
Kadmo ko roka na bus, badhta Gaya,
Socha kaisa hoga yahaan,
Mere armaano ka jahan
Maan me aashayein liye, aaya main yaar
Aankhon mein khwaab liye, tha bekaraar
Raahein nayi thi tha mein akela
Jaane anjane logon ka kaafila tha
Sapno ko phir bhi dil mein sajake
Durr koi manzil dekha aur ek savera
Kuch ajnabee-o se mein jaake takraaya
Iss bheer se hi maine doston ko paaya
Here we come, to weave our lives
To rock the world, to reach the sky
Paaya Maine apna jahaan
Ae mere saathi shukriya
Woh subah subah der se uthna
Phir class ko late pahuchna
Unpar lectures ke teeron ki barsaat
Kuch deviate hote to kuch hote aar paar
Woh workshop ki garmi, graphics ka atyachar,
Socha kab ye labs picha chodenge yaar
Par inhi palo me tha kuch alag sa phasana
Jiske nashe mein mil gaya experience saara
Canteen ki woh aaddein, hostel se ladkiyan cherna
Kabhi kabhi Deepor mein machliyaan bhi pakarna
Brahmaputra ke kinare tehelna…. Engines rule, circuits’ blaze,
Motors induce and we pass a phase
Din who apne aise katte
Jaane lute kitne maje
Palkon tale sapne saje
Kuch karne ke armaan jage
In raangon me dooba apna jahaan….. Na na na na………..
…………
Lamhe bhi who sunehre the
Beetein jo pal teri chaao mein
Paaya tujhme wo aashiyaan
Jiski tammanna thi barso se
Chaand tare simat gaye
Aake meri panahon mein
Yeh fizaayein mehek gayi
Khil gayi saari khwaahishein
Jaanaa Jo tujhko kareeb se
Paayee Maine jannat yahaan
Chorke jau aaj main kaise
Mere armaano ka jahaan
Kitne diyo ki roshni se yuun
Roshan hain apni duniya
Josh bhare apne iraado se
Likh denge nayii daastaan
With sprightly steps and zeal in mind
We spread our wings to take the flight
To reach new goals, to live a dream
To gear a change and spark a beam