23/03/2026
*Sultan-ul-Aashiqeen Hazrat Khwaja Inayat Hasan Shah* (R.A) – *Bhainsori Sharif*
Hazrat Inayat Hasan Shah RA Sahab, jinhe dunya "Chanda Mian" ke naam se bhi jaanti hai, Silsila-e- Abul-ulaiya, Jahangiriya ke ek bohat hi buland-paaya Sufi buzurg aur kamil wali-allah guzre hain. Aap ki bargah Bhainsori Sharif (Dist. Rampur, U.P.) poori dunya mein roohani sukoon ka markaz hai.
*Wiladat aur Nasab*
-Aap ki wiladat 28 October 1884 (22 Muharram 1302 Hijri) ko Bhainsori Sharif mein hui.
-Aap ke walid-e-majid Hazrat Maulana Muhammad Hasan Raza Shah (R.A) apne waqt ke bade aalim aur buzurg the.
-Jab aap sirf 2 saal ke the, tab aap ke walid ka saya sar se uth gaya.
-Tarbiyat aur Roohani Safar
Aap ki parwarish aur roohani tarbiyat aap ke bade bhai, Hazrat *Khwaja Muhammad Nabi Raza Shah* (R.A)—jinhe dunya " *Dada Miyan Lakhnavi* " , *Asad Jahangir* ke naam se jaanti hai—ne farmayi.
-Aap ne takreeban 16 saal apne bhai (Pir-o-Murshid) ki khidmat mein guzaare aur unhi se khilafat-o-ijazat hasil ki.
-1911 (1329 Hijri) mein *Dada Miyan RA* ke parda farmane ke baad, aap unke Sajjada Nashin bane.Aur Silsila-e-Jahangiriya ko poore mulk mein phailaya
*Sifaat aur Karamaat*
Chanda Mian: Aap ka chehra itna noorani tha ki log aap ko pyar se " *Chanda Mian* " pukarte the.
*Shaikh-ul-Auliya* : Aap shariat aur tariqat ke bade aalim the. Aap ne " *Ejaz-e-Jahangiri* " jaisi azeem kitab likhi, jo *Dada Miyan* RA ki sawaneh-hayat (biography) par ek sanad maani jaati hai.
*Saadgi* : Itne bade martabe ke bawajood aap nihayat hi saada-mizaj aur sakhawat ke maalik the.
*Wisaal aur Urs-e-Mubarak*
-Aap ne 26 October 1941 (4 Shawwal 1360 Hijri) ko is fani dunya se parda farmaya.
-Aap ka Mazar-e-Aqdas Bhainsori Sharif (Tehsil Milak, Rampur) mein maujood hai.
-Har saal 2 se 5 Shawwal (Eid-ul-Fitr ke foran baad) aap ka Urs Mubarak, badi aqidat se manaya jata hai, jahan hazaron mureedeen aur aqidatmand haazri dete hain.
*Paigam*
-Aap ki zindagi ka maqsad sirf Allah aur uske Rasool (SAW) ki mohabbat aur makhlooq-e-khuda ki khidmat tha.
✨✨✨✨✨✨✨✨
Reference: EJAZ E JAHANGIRI